ye zard bachche
gharoñ kī raunaq
ye zard bachche
paḌheñ likheñge javān hoñge
ma.āsh kī fikr in kī qismat
talāsh-e-fardā hayāt in kī
ye rahguzāroñ pe apne mauhūm ḳhvāb le kar phirā kareñge
ye ghar banā.eñge shādyāne bajā.eñge aane vaale rañgīñ dinoñ kī ḳhātir
ye chand luqmoñ kī zindagī kā ma.aal samjheñge hasb-e-dastūr
umr bhar un ko uñgliyoñ par ginā kareñge
ye merā hissa
ye terā hissa
phir ek din
ye bhī zard bachchoñ ke baap hoñge
aur un kī ḳhātir duā kareñge
darāz ho in kī umr dekheñ ye sau bahāreñ
gharon ki raunaq
ye zard bachche
paDhen likhenge jawan honge
maash ki fikr in ki qismat
talash-e-farda hayat in ki
ye rahguzaron pe apne mauhum KHwab le kar phira karenge
ye ghar banaenge shadyane bajaenge aane wale rangin dinon ki KHatir
ye chand luqmon ki zindagi ka maal samjhenge hasb-e-dastur
umr bhar un ko ungliyon par gina karenge
ye mera hissa
ye tera hissa
phir ek din
ye bhi zard bachchon ke bap honge
aur un ki KHatir dua karenge
daraaz ho in ki umr dekhen ye sau bahaaren
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 421)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.