jila-watani
Interesting Fact
(Monthly: Tahreeren, Lahore, June-July1973)
aaj sarhad pe ḳhāmosh topoñ ke hoñToñ pe
papḌī kī tah bhī chaTaḳh kar girī hai
har ik roz sub.h savere se tārīkiyoñ kī tahoñ tak
akelā hī chaltā hai sūraj
udāsī se har aañkh ko apnī jānib tavajjoh kī ḳhātir
bulātā hai lekin
nigāheñ milāne kā har hausla
har badan meñ
faqat siskiyoñ kī tarah jāgtā hai
ab faqat aabrū kā dhuāñ kohar ban ke rukā hai
bas ab bulbuloñ ke tarannum meñ bhī
nauha-e-zindagī ke sitam-ḳhez tūfān haiñ
ab faqat mere apne chahītoñ kī lāshoñ ke ambār haiñ
ab to ḳhar bhī yahāñ hinhināte nahīñ
jañg-bandī nahīñ sarhadeñ bhī nahīñ
ai mirī mujh se rūThī huī
mere padmā kī ai zinda-tar sar-zamīñ
merī āñkhoñ tire āsmānoñ
tirī aur mirī sarhadoñ ke vo sab fāsle
jo magar qurbatoñ ke sivā kuchh na the
aaj kyuuñ aañkh meñ ashk ban ke ruke haiñ
bhalā kyuuñ mujhe
terī qurbat ke sāyoñ ko dhuñdlāhaToñ meñ badalte hue
dekhne ke liye zinda rahnā paḌā hai
aaj sarhad pe KHamosh topon ke honTon pe
papDi ki tah bhi chaTaKH kar giri hai
har ek roz subh sawere se tarikiyon ki tahon tak
akela hi chalta hai suraj
udasi se har aankh ko apni jaanib tawajjoh ki KHatir
bulata hai lekin
nigahen milane ka har hausla
har badan mein
faqat siskiyon ki tarah jagta hai
ab faqat aabru ka dhuan kohar ban ke ruka hai
bas ab bulbulon ke tarannum mein bhi
nauha-e-zindagi ke sitam-KHez tufan hain
ab faqat mere apne chahiton ki lashon ke ambar hain
ab to KHar bhi yahan hinhinate nahin
jang-bandi nahin sarhaden bhi nahin
ai meri mujh se ruThi hui
mere padma ki ai zinda-tar sar-zamin
meri aankhon tere aasmanon
teri aur meri sarhadon ke wo sab fasle
jo magar qurbaton ke siwa kuchh na the
aaj kyun aankh mein ashk ban ke ruke hain
bhala kyun mujhe
teri qurbat ke sayon ko dhundlahaTon mein badalte hue
dekhne ke liye zinda rahna paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.