aaj ki raat na ja
raat aa.ī hai bahut rātoñ ke ba.ad aa.ī hai
der se duur se aa.ī hai magar aa.ī hai
marmarīñ sub.h ke hāthoñ meñ chhalaktā huā jaam aa.egā
raat TūTegī ujāloñ kā payām aa.egā
aaj kī raat na jā
zindagī lutf bhī hai zindagī āzār bhī hai
sāz-o-āhañg bhī zanjīr kī jhankār bhī hai
zindagī diid bhī hai hasrat-e-dīdār bhī hai
zahr bhī āb-e-hayāt-e-lab-o-ruḳhsār bhī hai
zindagī ḳhaar bhī hai zindagī daar bhī hai
aaj kī raat na jā
aaj kī raat bahut rātoñ ke ba.ad aa.ī hai
kitnī farḳhanda hai shab kitnī mubārak hai sahar
vaqf hai mere liye terī mohabbat kī nazar
aaj kī raat na jā
raat aai hai bahut raaton ke baad aai hai
der se dur se aai hai magar aai hai
marmarin subh ke hathon mein chhalakta hua jam aaega
raat TuTegi ujalon ka payam aaega
aaj ki raat na ja
zindagi lutf bhi hai zindagi aazar bhi hai
saz-o-ahang bhi zanjir ki jhankar bhi hai
zindagi did bhi hai hasrat-e-didar bhi hai
zahr bhi aab-e-hayat-e-lab-o-ruKHsar bhi hai
zindagi KHar bhi hai zindagi dar bhi hai
aaj ki raat na ja
aaj ki raat bahut raaton ke baad aai hai
kitni farKHanda hai shab kitni mubarak hai sahar
waqf hai mere liye teri mohabbat ki nazar
aaj ki raat na ja
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 176)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.