andhera
raat ke haath meñ ik kāsa-e-daryuza-girī
ye chamakte hue taare ye damaktā huā chāñd
bhiik ke nuur meñ māñge ke ujāle meñ magan
yahī malbūs-e-urūsī hai yahī un kā kafan
is añdhere meñ vo marte hue jismoñ kī karāh
vo azāzīl ke kuttoñ kī kamīñ-gāh
''vo tahzīb ke zaḳhm''
ḳhandaqeñ
baaḌh ke taar
baaḌh ke tāroñ meñ uljhe hue insānoñ ke jism
aur insānoñ ke jismoñ pe vo baiThe hue gidh
vo taḌaḳhte hue sar
mayyateñ hāt-kaTī pāñv-kaTī
laash ke Dhāñche ke is paar se us paar talak
sard havā
nauha o naala o fariyād-kunāñ
shab ke sannāTe meñ rone kī sadā
kabhī bachchoñ kī kabhī maaoñ kī
chāñd ke tāroñ ke mātam kī sadā
raat ke māthe pe āzurda sitāroñ kā hujūm
sirf ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ ke nikalne tak hai
raat ke paas añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ
raat ke paas añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ
raat ke hath mein ek kasa-e-daryuza-giri
ye chamakte hue tare ye damakta hua chand
bhik ke nur mein mange ke ujale mein magan
yahi malbus-e-urusi hai yahi un ka kafan
is andhere mein wo marte hue jismon ki karah
wo azazil ke kutton ki kamin-gah
wo tahzib ke zaKHm
KHandaqen
baDh ke tar
baDh ke taron mein uljhe hue insanon ke jism
aur insanon ke jismon pe wo baiThe hue gidh
wo taDaKHte hue sar
mayyaten hat-kaTi panw-kaTi
lash ke Dhanche ke is par se us par talak
sard hawa
nauha o nala o fariyaad-kunan
shab ke sannaTe mein rone ki sada
kabhi bachchon ki kabhi maon ki
chand ke taron ke matam ki sada
raat ke mathe pe aazurda sitaron ka hujum
sirf KHurshid-e-daraKHshan ke nikalne tak hai
raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin
raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.