chaara-gar
ik chamelī ke manDve-tale
mai-kade se zarā duur us moḌ par
do badan
pyaar kī aag meñ jal ga.e
pyaar harf-e-vafā pyaar un kā ḳhudā
pyaar un kī chitā
do badan
os meñ bhīgte chāñdnī meñ nahāte hue
jaise do tāza-rau tāza-dam phuul pichhle-pahar
ThanDī ThanDī subuk-rau chaman kī havā
sarf-e-mātam huī
kaalī kaalī laToñ se lapaT garm ruḳhsār par
ek pal ke liye ruk ga.ī
ham ne dekhā unheñ
din meñ aur raat meñ
nūr-o-zulmāt meñ
masjidoñ ke manāroñ ne dekhā unheñ
mandiroñ ke kivāḌoñ ne dekhā unheñ
mai-kadoñ kī darāḌoñ ne dekhā unheñ
az-azal tā-abad
ye batā chāra-gar
terī zambīl meñ
nusḳha-e-kīmiyā-e-mohabbat bhī hai
kuchh ilaaj o mudāvā-e-ulfat bhī hai
ik chamelī ke manDve-tale
mai-kade se zarā duur us moḌ par
do badan
ek chameli ke manDwe-tale
mai-kade se zara dur us moD par
do badan
pyar ki aag mein jal gae
pyar harf-e-wafa pyar un ka KHuda
pyar un ki chita
do badan
os mein bhigte chandni mein nahate hue
jaise do taza-rau taza-dam phul pichhle-pahar
ThanDi ThanDi subuk-rau chaman ki hawa
sarf-e-matam hui
kali kali laTon se lapaT garm ruKHsar par
ek pal ke liye ruk gai
hum ne dekha unhen
din mein aur raat mein
nur-o-zulmat mein
masjidon ke manaron ne dekha unhen
mandiron ke kiwaDon ne dekha unhen
mai-kadon ki daraDon ne dekha unhen
az-azal ta-abad
ye bata chaara-gar
teri zambil mein
nusKHa-e-kimiya-e-mohabbat bhi hai
kuchh ilaj o mudawa-e-ulfat bhi hai
ek chameli ke manDwe-tale
mai-kade se zara dur us moD par
do badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.