ghaalib
tum jo aa jaao aaj dillī meñ
ḳhud ko pāoge ajnabī kī tarah
tum phiroge bhaTakte rastoñ meñ
ek be-chehra zindagī kī tarah
din hai dast-e-ḳhasīñ kī mānind
raat hai dāman-e-tahī kī tarah
panja-e-zar-garī o zar-gīrī
aam hai rasm-e-rahzanī kī tarah
aaj har mai-kade meñ hai kohrām
har galī hai tirī galī kī tarah
vo zabāñ jis kā naam hai urdu
uTh na jaa.e kahīñ ḳhushī kī tarah
ham-zabāñ kuchh idhar udhar saa.e
nazar ā.eñge aadmī kī tarah
tum the apnī shikast kī āvāz
aaj sab chup haiñ munsifī kī tarah
aa rahī hai nidā bahāroñ se
ek gumnām raushnī kī tarah
is añdhere meñ ik rupahlī lakīr
ek āvāz-e-haq nabī kī tarah!
tum jo aa jao aaj dilli mein
KHud ko paoge ajnabi ki tarah
tum phiroge bhaTakte raston mein
ek be-chehra zindagi ki tarah
din hai dast-e-KHasin ki manind
raat hai daman-e-tahi ki tarah
panja-e-zar-gari o zar-giri
aam hai rasm-e-rahzani ki tarah
aaj har mai-kade mein hai kohram
har gali hai teri gali ki tarah
wo zaban jis ka nam hai urdu
uTh na jae kahin KHushi ki tarah
ham-zaban kuchh idhar udhar sae
nazar aaenge aadmi ki tarah
tum the apni shikast ki aawaz
aaj sab chup hain munsifi ki tarah
aa rahi hai nida bahaaron se
ek gumnam raushni ki tarah
is andhere mein ek rupahli lakir
ek aawaz-e-haq nabi ki tarah!
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 237)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.