intizar
raat bhar dīda-e-namnāk meñ lahrāte rahe
saañs kī tarah se aap aate rahe jaate rahe
ḳhush the ham apnī tamannāoñ kā ḳhvāb aa.egā
apnā armān bar-afganda-naqāb aa.egā
nazreñ nīchī kiye sharmā.e hue aa.egā
kākuleñ chehre pe bikhrā.e hue aa.egā
aa ga.ī thī dil-e-muztar meñ shakebā.ī sī
baj rahī thī mire ġham-ḳhāne meñ shahnā.ī sī
patiyāñ khaḌkīñ to samjhā ki lo aap aa hī ga.e
sajde masrūr ki ma.abūd ko ham pā hī ga.e
shab ke jaage hue tāroñ ko bhī niiñd aane lagī
aap ke aane kī ik aas thī ab jaane lagī
sub.h ne sej se uThte hue lī añgḌā.ī
o sabā! tū bhī jo aa.ī to akelī aa.ī
mere mahbūb mirī niiñd uḌāne vaale
mere masjūd mirī ruuh pe chhāne vaale
aa bhī jaa, taaki mire sajdoñ kā armāñ nikle
aa bhī jaa, ki tire qadmoñ pe mirī jaañ nikle
raat bhar dida-e-namnak mein lahraate rahe
sans ki tarah se aap aate rahe jate rahe
KHush the hum apni tamannaon ka KHwab aaega
apna arman bar-afganda-naqab aaega
nazren nichi kiye sharmae hue aaega
kakulen chehre pe bikhrae hue aaega
aa gai thi dil-e-muztar mein shakebai si
baj rahi thi mere gham-KHane mein shahnai si
patiyan khaDkin to samjha ki lo aap aa hi gae
sajde masrur ki mabud ko hum pa hi gae
shab ke jage hue taron ko bhi nind aane lagi
aap ke aane ki ek aas thi ab jaane lagi
subh ne sej se uThte hue li angDai
o saba! tu bhi jo aai to akeli aai
mere mahbub meri nind uDane wale
mere masjud meri ruh pe chhane wale
aa bhi ja, taki mere sajdon ka arman nikle
aa bhi ja, ki tere qadmon pe meri jaan nikle
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.