TuTe hue tare
nava-e-dard mirī kahkashāñ meñ Duub ga.ī
vo chāñd tāroñ kī sail-e-ravāñ meñ Duub ga.ī
saman-barān-e-falak ne sharar ko dekh liyā
zamīn vāloñ ke dil ko nazar ko dekh liyā
vo merī aah kā sho.ala thā koī taara na thā
vo ḳhāk-dāñ kā musāfir thā māh-pāra na thā
diloñ meñ baiTh gayā tīr-e-ārzū ban kar
falak pe phail gayā ishq kā lahū ban kar
ye sākinān-e-falak dard-o-ġham ko kyā jāneñ
ye ḳhākiyoñ ke rah-e-besh-o-kam ko kyā jāneñ
vo ġham ko pī to ga.e āñsuoñ ko pī na sake
zamīñ ke zahr ko pī kar vo aur jī na sake
falak se girne lage TuuT TuuT kar taare
zamīñ pe Dher hue tīr-e-āh ke maare
ye aag aur bhī uupar nikal ga.ī hotī
harīm-e-arsh ko chhū kar nikal ga.ī hotī
nawa-e-dard meri kahkashan mein Dub gai
wo chand taron ki sail-e-rawan mein Dub gai
saman-baran-e-falak ne sharar ko dekh liya
zamin walon ke dil ko nazar ko dekh liya
wo meri aah ka shoala tha koi tara na tha
wo KHak-dan ka musafir tha mah-para na tha
dilon mein baiTh gaya tir-e-arzu ban kar
falak pe phail gaya ishq ka lahu ban kar
ye sakinan-e-falak dard-o-gham ko kya jaanen
ye KHakiyon ke rah-e-besh-o-kam ko kya jaanen
wo gham ko pi to gae aansuon ko pi na sake
zamin ke zahr ko pi kar wo aur ji na sake
falak se girne lage TuT TuT kar tare
zamin pe Dher hue tir-e-ah ke mare
ye aag aur bhi upar nikal gai hoti
harim-e-arsh ko chhu kar nikal gai hoti
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.