aadmi ki talash
abhī marā nahīñ zinda hai aadmī shāyad
yahīñ kahīñ use DhūñDo yahīñ kahīñ hogā
badan kī andhī guphā meñ chhupā huā hogā
baḌhā ke haath
har ik raushnī ko gul kar do
havā.eñ tez haiñ jhanDe lapeT kar rakh do
jo ho sake to un āñkhoñ pe paTTiyāñ kas do
na koī paañv kī aahaT
na sāñsoñ kī āvāz
Darā huā hai vo
kuchh aur bhī na Dar jaa.e
badan kī andhī guphā se na kuuch kar jaa.e
yahīñ kahīñ use DhūñDo
vo aaj sadiyoñ baad
udaas udaas hai
ḳhāmosh hai
akelā hai
na jaane kab koī paslī phaḌak uThe us kī
yahīñ kahīñ use DhūñDo yahīñ kahīñ hogā
barhana ho to use phir libās pahnā do
añdherī āñkhoñ meñ sūraj kī aag dahkā do
bahut baḌī hai ye bastī kahīñ bhī dafnā do
abhī marā nahīñ
zinda hai aadmī shāyad
abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad
yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga
badan ki andhi gupha mein chhupa hua hoga
baDha ke hath
har ek raushni ko gul kar do
hawaen tez hain jhanDe lapeT kar rakh do
jo ho sake to un aankhon pe paTTiyan kas do
na koi panw ki aahaT
na sanson ki aawaz
Dara hua hai wo
kuchh aur bhi na Dar jae
badan ki andhi gupha se na kuch kar jae
yahin kahin use DhunDo
wo aaj sadiyon baad
udas udas hai
KHamosh hai
akela hai
na jaane kab koi pasli phaDak uThe us ki
yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga
barhana ho to use phir libas pahna do
andheri aankhon mein suraj ki aag dahka do
bahut baDi hai ye basti kahin bhi dafna do
abhi mara nahin
zinda hai aadmi shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.