qaumi yak-jehti
vo tavā.if
ka.ī mardoñ ko pahchāntī hai
shāyad isī liye
duniyā ko ziyāda jāntī hai
us ke kamre meñ
har maz.hab ke bhagvān kī ek ek tasvīr laTkī hai
ye tasvīreñ
leaderoñ kī taqrīroñ kī tarah numā.ishī nahīñ
us kā darvāza
raat ga.e tak
hindū
muslim
sikh
īsā.ī
har maz.hab ke aadmī ke liye khulā rahtā hai
ḳhudā jaane
us ke kamre kī sī kushādgī
masjid aur mandir ke āñganoñ meñ kab paidā hogī
wo tawaif
kai mardon ko pahchanti hai
shayad isi liye
duniya ko ziyaada jaanti hai
us ke kamre mein
har mazhab ke bhagwan ki ek ek taswir laTki hai
ye taswiren
leaderon ki taqriron ki tarah numaishi nahin
us ka darwaza
raat gae tak
hindu
muslim
sikh
isai
har mazhab ke aadmi ke liye khula rahta hai
KHuda jaane
us ke kamre ki si kushadgi
masjid aur mandir ke aanganon mein kab paida hogi
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 341)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.