Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sachchai

Nida Fazli

sachchai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    vo kisī ek mard ke saath

    ziyāda din nahīñ rah saktī

    ye us kamzorī nahīñ

    sachchā.ī hai

    lekin jitne din vo jis ke saath rahtī hai

    us ke saath bevafā.ī nahīñ kartī

    use log bhale kuchh kaheñ

    magar

    kisī ek ghar meñ

    zindagī bhar jhuuT bolne se

    alag alag makānoñ meñ sachchā.iyāñ bikhernā

    ziyāda behtar hai

    wo kisi ek mard ke sath

    ziyaada din nahin rah sakti

    ye us ki kamzori nahin

    sachchai hai

    lekin jitne din wo jis ke sath rahti hai

    us ke sath bewafai nahin karti

    use log bhale hi kuchh kahen

    magar

    kisi ek ghar mein

    zindagi bhar jhuT bolne se

    alag alag makanon mein sachchaiyan bikherna

    ziyaada behtar hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now