dustbin
sub.h ke jag-mag sūraj ko
shaam ke nāranjī bādal meñ
kyuuñ gahnātī ho
vo kyā andesha hai
jis ke baḌhte qadmoñ kī dhamak sunī
aur tum ne apne aañsū apne andar girā liye
apnī ruuh meñ nauhe jam.a kiye
aur nisyāñ kī dustbin meñ pheñk diye
vo kaun sā mujrim dard hai
jis ko dil ke shab-ḳhānoñ meñ chhupā.e
jis ke nādīda sho.aloñ se nazar jalā.e
baiThī ho
chor zehn ke
pichhle shelf pe
tah karke mujhe mat rakkho
mujh se jaan chhuḌānī ho to
mujhe shu.ūr ke shīsh-mahal meñ zinda karo;
mujhe zinda karo
mire hone kā iqrār karo
mirī tāqat se inkār karo
mujhe māro;;
subh ke jag-mag suraj ko
sham ke naranji baadal mein
kyun gahnati ho
wo kya andesha hai
jis ke baDhte qadmon ki dhamak suni
aur tum ne apne aansu apne andar gira liye
apni ruh mein nauhe jama kiye
aur nisyan ki dustbin mein phenk diye
wo kaun sa mujrim dard hai
jis ko dil ke shab-KHanon mein chhupae
jis ke nadida shoalon se nazar jalae
baiThi ho
chor zehn ke
pichhle shelf pe
tah karke mujhe mat rakkho
mujh se jaan chhuDani ho to
mujhe shuur ke shish-mahal mein zinda karo;
mujhe zinda karo
mere hone ka iqrar karo
meri taqat se inkar karo
mujhe maro;;
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.