shah-e-daula chuha
maiñ thā māñda udaas
maqbare ke paas
ek sabz hajle meñ
apne jamūre kā
bechainī se intizār kar rahā thā
murjhā.ī huī dhuup
kaahī dolā shāhī
ḳhānqāh kī zar-nigāh
sīḌhiyoñ se utartī
dālān paar kartī
hujre kī sunahrī jāliyoñ se
chhan chhan guzartī
marmarīñ farsh par
TuuTe hue chitkabre paroñ kī tarah
halkān paḌī huī thī
ek kone meñ
himāliyā.ī silk route se
smugle kiye hue
bachchiyoñ laḌkiyoñ auratoñ vaale
chīnī faulādī juute
paloThī ke laḌkoñ ke intizār meñ
pighal pighal ke
chhoTī chhoTī ulTe kaToroñ jaisī
be-phande kī āhanī
turkī Topiyoñ bane baiThe the
maiñ choriyāñ kartā
siskāriyāñ bhartā
karachi se multān
multān se lahore
lahore se gujrāt pahuñchā thā
tarah tarah ke ghināone peshoñ
aur ghane andeshoñ se
laḌ bhiḌ ke
faqīrī iḳhtiyār kī thī
yahī qaumī mizāj
aur ḳhitte kā rivāj thā
magar das baras tak
bhiik maañg maañg ke
thak chukā thā
hama-vaqt muñh khulā rakhne
aur haath phailāne se
uñgliyāñ aur hatheliyāñ
dikhne lagī thiiñ
jabḌe karāhne lage the
ek dūr-andesh
parnā.e darvesh ke
bar-vaqt mashvare par
idhar kā safar iḳhtiyār kiyā thā
pāñch hazār kī poTlī
ḳhashḳhashī dāḌhī vaale
sajjāda-nashīn ke havāle kar dī thī
vo ek nārīkī sar vaale
chaudah pañdrah baras ke hañsmukh
ajūbe ke hamrāh
baġhlī tah-ḳhāne meñ
ye kah kar utar ga.e the
aayā abhī aayā
maiñ chaḌhī dopahar kā saaya thā
ab shaam tilmilā rahī thī
sarāsīma ḳhayāloñ meñ
vasvasoñ ke sañpoliye kulbulā rahe the
achānak āvāz aa.ī
sāhab devilry tayyār hai
to kyā dekhtā huuñ
bichāre mujāvar ke
shānoñ se ukhḌe hue
aur TuuTe hue haath
mazbūt rassī se
nañgī kamar par bañdhe haiñ
dīdoñ pe paTTī hai
hoñToñ pe Tāñke haiñ
gardan meñ paTTā hai
paTe meñ chamḌe kā
chauḌā sā tasma paḌā hai
razākār chūhe ne
bille ko mere havāle kiyā
aur chup-chāp aage ravāna huā
us kī jaltī huī muntaqim surḳh āñkhoñ meñ
sadiyoñ ke sog
jigar jigar jagmagā rahe the
main tha manda udas
maqbare ke pas
ek sabz hajle mein
apne jamure ka
bechaini se intizar kar raha tha
murjhai hui dhup
kahi dola shahi
KHanqah ki zar-nigah
siDhiyon se utarti
dalan par karti
hujre ki sunahri jaliyon se
chhan chhan guzarti
marmarin farsh par
TuTe hue chitkabre paron ki tarah
halkan paDi hui thi
ek kone mein
himaliyai silk route se
smugle kiye hue
bachchiyon laDkiyon auraton wale
chini fauladi jute
paloThi ke laDkon ke intizar mein
pighal pighal ke
chhoTi chhoTi ulTe kaToron jaisi
be-phande ki aahani
turki Topiyon bane baiThe the
main choriyan karta
siskariyan bharta
karachi se multan
multan se lahore
lahore se gujraat pahuncha tha
tarah tarah ke ghinaone peshon
aur ghane andeshon se
laD bhiD ke
faqiri iKHtiyar ki thi
yahi qaumi mizaj
aur KHitte ka riwaj tha
magar das baras tak
bhik mang mang ke
thak chuka tha
hama-waqt munh khula rakhne
aur hath phailane se
ungliyan aur hatheliyan
dikhne lagi thin
jabDe karahne lage the
ek dur-andesh
parnae darwesh ke
bar-waqt mashware par
idhar ka safar iKHtiyar kiya tha
panch hazar ki poTli
KHashKHashi daDhi wale
sajjada-nashin ke hawale kar di thi
wo ek nariki sar wale
chaudah pandrah baras ke hansmukh
ajube ke hamrah
baghli tah-KHane mein
ye kah kar utar gae the
aaya abhi aaya
main chaDhi dopahar ka saya tha
ab sham tilmila rahi thi
sarasima KHayalon mein
waswason ke sanpoliye kulbula rahe the
achanak aawaz aai
sahab dewilry tayyar hai
to kya dekhta hun
bichaare mujawar ke
shanon se ukhDe hue
aur TuTe hue hath
mazbut rassi se
nangi kamar par bandhe hain
didon pe paTTi hai
honTon pe Tanke hain
gardan mein paTTa hai
paTe mein chamDe ka
chauDa sa tasma paDa hai
razakar chuhe ne
bille ko mere hawale kiya
aur chup-chap aage rawana hua
us ki jalti hui muntaqim surKH aankhon mein
sadiyon ke sog
jigar jigar jagmaga rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.