Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh jab mera kamra napta hai

Sara Shagufta

charagh jab mera kamra napta hai

Sara Shagufta

MORE BYSara Shagufta

    charāġh ne phuul ko janm denā shurūa kar diyā hai

    duur bahut duur merā janm din rahtā hai

    āñgan meñ dhuup na aa.e to samho

    tum kisī ġhair-ābād ilāqe meñ rahte ho

    miTTī meñ mere badan TūT-phūT paḌī hai

    hamāre ḳhvāboñ meñ chaap kaun chhoḌ jaatā hai

    raat ke sannāTe meñ TūTte hue charāġh

    raat chādar pe phailtī huī sub.h

    maiñ bikhrī patiyāñ uThātī huuñ

    tum samundar ke dāman meñ

    kisī bhī lahr ko utar jaane do

    aur phir jab insānoñ sannāTā hotā hai

    hameñ marne mohlat nahīñ jaatī

    kyā ḳhvāhish miyān meñ

    hamāre hausle rakhe hue hote haiñ

    har vafādār lamha hameñ churā le jaatā hai

    raat pahlā qadam hai

    aur maiñ paidal huuñ

    baisākhiyoñ chāñd banāne vaale

    mere āñgan chhāñv luT chukī

    merī āñkheñ mare hue bachche haiñ

    aur phir merī TūT-phūT

    samundar TuuT phuuT ho jaatī hai

    maiñ qarīb se nikal jā.ūñ

    koī samt-e-safar pahchān nahīñ kar saktī

    shaam TuuTī muñDer se

    hamāre talātum pe

    aaj raat tartīb ho rahī hai

    musāfir apne sañg-e-mīl hifāzat kartā hai

    charāġh kamra nāptā hai

    aur ġham mere dil se janm letā hai

    zamīn hairat kartī hai

    aur ek peḌ ugā detī hai

    charagh ne phul ko janm dena shurua kar diya hai

    dur bahut dur mera janm din rahta hai

    aangan mein dhup na aae to samho

    tum kisi ghair-abaad ilaqe mein rahte ho

    miTTi mein mere badan ki TuT-phuT paDi hai

    hamare KHwabon mein chap kaun chhoD jata hai

    raat ke sannaTe mein TuTte hue charagh

    raat ki chadar pe phailti hui subh

    main bikhri patiyan uThati hun

    tum samundar ke daman mein

    kisi bhi lahr ko utar jaane do

    aur phir jab insanon ka sannaTa hota hai

    hamein marne ki mohlat nahin di jati

    kya KHwahish ki miyan mein

    hamare hausle rakhe hue hote hain

    har wafadar lamha hamein chura le jata hai

    raat ka pahla qadam hai

    aur main paidal hun

    baisakhiyon ka chand banane wale

    mere aangan ki chhanw luT chuki

    meri aankhen mare hue bachche hain

    aur phir meri TuT-phuT

    samundar ki TuT phuT ho jati hai

    main qarib se nikal jaun

    koi samt-e-safar ki pahchan nahin kar sakti

    sham ki TuTi munDer se

    hamare talatum pe

    aaj raat ki tartib ho rahi hai

    musafir apne sang-e-mil ki hifazat karta hai

    charagh kamra napta hai

    aur gham mere dil se janm leta hi hai

    zamin hairat karti hai

    aur ek peD uga deti hai

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Charagh jab mera kamra naapta hai Azra Naqvi

    Source :
    • Book : Aankhen(rekhta website) (Pg. 27)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now