badnam ho raha hun
Interesting Fact
The famous researcher and scholar Maulana Mahmood Sherani once went to Hyderabad, Deccan, where, at a function, a man said to him: I like one of your poems very much. To which the Maulana asked, 'Which poem, brother?' The one which has the line, 'Basti ki laDkiyon mein badnaam ho rha huun (I am becoming notorious among the girls of the town)', the man replied. Maulana, after heeding to it, took a deep sigh and dejectedly answered, 'This poem is not mine, it is written by my mindless son Akhtar Sherani, he is merely becoming notorious, while I am disgraced by his deeds'.
faryādī-e-jafā-e-ayyām ho rahā huuñ
pāmāl-e-jaur-e-baḳht-e-nākām ho rahā huuñ
sargashta-e-ḳhayāl-e-anjām ho rahā huuñ
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
bad-nām ho rahā huuñ
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
salmā se dil lagā kar salmā se dil lagā kar
us hūr-vash ke ġham meñ duniyā-o-dīñ gañvā kar
hosh-o-havās kho kar sabr-o-sukūñ luTā kar
baiThe biThā.e dil meñ ġham kī ḳhalish basā kar
har chiiz ko bhulā kar
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
kahtī haiñ sab ye kis kī taḌpā ga.ī hai sūrat
salmā kī shāyad is ke man bhā ga.ī hai sūrat
aur us ke ġham meñ itnī murjhā ga.ī hai sūrat
murjhā ga.ī hai sūrat kumhlā ga.ī hai sūrat
sañvlā ga.ī hai sūrat
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
panghaT pe jab ki saarī hotī haiñ jam.a aa kar
gāgar ko apnī rakh kar, ghuñghaT uThā uThā kar
ye qissa chheḌtī haiñ mujh ko batā batā kar
salmā se bāteñ karte dekhā hai is ko jā kar
ham ne nazar bachā kar
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
rātoñ ko giit gaane jab mil kar aatī haiñ sab
tālāb ke kināre dhūmeñ machātī haiñ sab
jañgal kī chāñdnī meñ mañgal manātī haiñ sab
to mere aur salmā ke giit gaatī haiñ sab
aur hañstī jaatī haiñ sab
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
khetoñ se lauTtī haiñ jab din chhupe makāñ ko
tab rāste meñ bāham vo merī dāstāñ ko
dohrā ke chheḌtī haiñ salmā ko merī jaañ ko
aur vo hayā kī maarī sī letī hai zabāñ ko
ki chheḌe is bayāñ ko
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
kahtī hai rahm khā kar yuuñ ek māh-e-tal.at
ye shahrī naujavāñ thā kis darja ḳhūb-sūrat
āñkhoñ meñ bas rahī hai ab bhī vo pahlī rañgat
do din meñ aah kyā hai kyā ho ga.ī hai hālat
allāh terī qudarat
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
us sham.a-rū kā jab se parvāna ban gayā huuñ
bastī kī laḌkiyoñ meñ afsāna bin gayā huuñ
har māh-vash ke lab kā paimāna ban gayā huuñ
dīvāna ho rahā huuñ dīvāna ban gayā huuñ
dīvāna ban gayā huuñ
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
un kī zabāñ pe merī jitnī kahāniyāñ haiñ
kyā jāneñ ye ki dil kī sab mehrbāniyāñ haiñ
kam-sin haiñ be-ḳhabar haiñ uThtī javāniyāñ haiñ
kyā samjheñ ġham ke hāthoñ kyuuñ sar-girāniyāñ haiñ
kyuuñ ḳhūñ-fishāniyāñ haiñ
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
har ik ke rahm kā yuuñ iz.hār ho rahā hai
bechāre ko ye kaisā āzār ho rahā hai
dekhe to koī jaane bīmār ho rahā hai
kis darja zindagī se bezār ho rahā hai
nā-chār ho rahā hai
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
ik pūchhtī hai aa kar tum be-qarār kyuuñ ho
kuchh to hameñ batāo yuuñ dil-figār kyuuñ ho
kyā rog hai kaho to tum ashk-bār kyuuñ ho
dīvāne kyuuñ hue ho dīvāna vaar kyuuñ ho
bā-hāl-e-zār kyuuñ ho
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
jā.ūñ shikār ko gar bā-hamrahān-e-sahrā
khetoñ se ghūrtī haiñ yuuñ duḳhtarān-e-sahrā
bijlī kī raushnī ko jaise miyān-e-sahrā
tārīk shab meñ dekheñ kuchh āhuvān-e-sahrā
hairat kushān-e-sahrā
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
ik shoḳh chheḌtī hai is tarah paas aa kar
dekho vo jā rahī hai salmā nazar bachā kar
sharmā ke muskurā kar āñchal se muñh chhupā kar
jaao nā pīchhe pīchhe do bāteñ kar lo jā kar
khetoñ meñ chhup chhupā kar
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
goyā hameñ hasad se kuchh nāznīn nigāheñ
salmā kī bhā ga.ī haiñ kyuuñ dil-nashīñ nigāheñ
un se zyāda dilkash haiñ ye hasīñ nigāheñ
al-qissa ek dil hai sau ḳhashmagīñ nigāheñ
shauq āfrīñ nigāheñ
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
ik shoḳh taaza dārad sasurāl se ghar aa kar
sakhiyoñ se pūchhtī hai jis dam mujhe batā kar
ye kaun hai to zālim kahtī haiñ muskurā kar
tum is kā haal pūchho salmā ke dil se jā kar
ye giit use sunā kar
salmā se dil lagā kar
bastī kī laḌkiyoñ meñ badnām ho rahā huuñ
faryaadi-e-jafa-e-ayyam ho raha hun
pamal-e-jaur-e-baKHt-e-nakaam ho raha hun
sargashta-e-KHayal-e-anjam ho raha hun
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
bad-nam ho raha hun
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
salma se dil laga kar salma se dil laga kar
us hur-wash ke gham mein duniya-o-din ganwa kar
hosh-o-hawas kho kar sabr-o-sukun luTa kar
baiThe biThae dil mein gham ki KHalish basa kar
har chiz ko bhula kar
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
kahti hain sab ye kis ki taDpa gai hai surat
salma ki shayad is ke man bha gai hai surat
aur us ke gham mein itni murjha gai hai surat
murjha gai hai surat kumhla gai hai surat
sanwla gai hai surat
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
panghaT pe jab ki sari hoti hain jama aa kar
gagar ko apni rakh kar, ghunghaT uTha uTha kar
ye qissa chheDti hain mujh ko bata bata kar
salma se baaten karte dekha hai is ko ja kar
hum ne nazar bacha kar
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
raaton ko git gane jab mil kar aati hain sab
talab ke kinare dhumen machati hain sab
jangal ki chandni mein mangal manati hain sab
to mere aur salma ke git gati hain sab
aur hansti jati hain sab
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
kheton se lauTti hain jab din chhupe makan ko
tab raste mein baham wo meri dastan ko
dohra ke chheDti hain salma ko meri jaan ko
aur wo haya ki mari si leti hai zaban ko
ki chheDe is bayan ko
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
kahti hai rahm kha kar yun ek mah-e-talat
ye shahri naujawan tha kis darja KHub-surat
aankhon mein bas rahi hai ab bhi wo pahli rangat
do din mein aah kya hai kya ho gai hai haalat
allah teri qudarat
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
us shama-ru ka jab se parwana ban gaya hun
basti ki laDkiyon mein afsana bin gaya hun
har mah-wash ke lab ka paimana ban gaya hun
diwana ho raha hun diwana ban gaya hun
diwana ban gaya hun
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
un ki zaban pe meri jitni kahaniyan hain
kya jaanen ye ki dil ki sab mehrbaniyan hain
kam-sin hain be-KHabar hain uThti jawaniyan hain
kya samjhen gham ke hathon kyun sar-giraniyan hain
kyun KHun-fishaniyan hain
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
har ek ke rahm ka yun izhaar ho raha hai
bechaare ko ye kaisa aazar ho raha hai
dekhe to koi jaane bimar ho raha hai
kis darja zindagi se bezar ho raha hai
na-chaar ho raha hai
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
ek puchhti hai aa kar tum be-qarar kyun ho
kuchh to hamein batao yun dil-figar kyun ho
kya rog hai kaho to tum ashk-bar kyun ho
diwane kyun hue ho diwana war kyun ho
ba-haal-e-zar kyun ho
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
jaun shikar ko gar ba-hamrahan-e-sahra
kheton se ghurti hain yun duKHtaran-e-sahra
bijli ki raushni ko jaise miyan-e-sahra
tarik shab mein dekhen kuchh aahuwan-e-sahra
hairat kushan-e-sahra
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
ek shoKH chheDti hai is tarah pas aa kar
dekho wo ja rahi hai salma nazar bacha kar
sharma ke muskura kar aanchal se munh chhupa kar
jao na pichhe pichhe do baaten kar lo ja kar
kheton mein chhup chhupa kar
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
goya hamein hasad se kuchh naznin nigahen
salma ki bha gai hain kyun dil-nashin nigahen
un se zyaada dilkash hain ye hasin nigahen
al-qissa ek dil hai sau KHashmagin nigahen
shauq aafrin nigahen
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
ek shoKH taza darad sasural se ghar aa kar
sakhiyon se puchhti hai jis dam mujhe bata kar
ye kaun hai to zalim kahti hain muskura kar
tum is ka haal puchho salma ke dil se ja kar
ye git use suna kar
salma se dil laga kar
basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun
- Book : Kulliyat-e-Akhtar shirani (Pg. 70)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.