aurat
mujassam ishva-o-andāz bhī hai
magar aurat jahān-e-rāz bhī hai
sitam-ārā.iyāñ taslīm lekin
nihāyat muḳhlis-o-dam-sāz bhī hai
shakt-e-ārzū kī baat kaisī
hujūm-e-ārzū kā raaz bhī hai
agar kotāh-nazarī ho na haa.il
to shāyad markaz-e-parvāz bhī hai
kahīñ afsāna-e-ishq-o-mohabbat
kahīñ rūdād-e-soz-o-sāz bhī hai
yahī taqdīs-e-maryam zabt-e-sītā
yahī ayyār-o-shāhid-bāz bhī hai
isī se raunaq-e-har-anjuman bhī
yahī har fitne kā āġhāz bhī hai
yahī ganjīna-e-zauq-e-nihānī
mashiyyat kā yahī e.ajāz bhī hai
jahāñ hai sar-ba-sajda ishq ab tak
yahī vo bārgāh-e-nāz bhī hai
fazā-e-al-jazā.ir jis pe qurbāñ
ik aisī pur-asar āvāz bhī hai
ġharz aurat jahān-e-āb-o-gil meñ
zamāna bhī zamāna-sāz bhī hai
mujassam ishwa-o-andaz bhi hai
magar aurat jahan-e-raaz bhi hai
sitam-araiyan taslim lekin
nihayat muKHlis-o-dam-saz bhi hai
shakt-e-arzu ki baat kaisi
hujum-e-arzu ka raaz bhi hai
agar kotah-nazari ho na hail
to shayad markaz-e-parwaz bhi hai
kahin afsana-e-ishq-o-mohabbat
kahin rudad-e-soz-o-saz bhi hai
yahi taqdis-e-maryam zabt-e-sita
yahi ayyar-o-shahid-baz bhi hai
isi se raunaq-e-har-anjuman bhi
yahi har fitne ka aaghaz bhi hai
yahi ganjina-e-zauq-e-nihani
mashiyyat ka yahi eajaz bhi hai
jahan hai sar-ba-sajda ishq ab tak
yahi wo bargah-e-naz bhi hai
faza-e-al-jazair jis pe qurban
ek aisi pur-asar aawaz bhi hai
gharz aurat jahan-e-ab-o-gil mein
zamana bhi zamana-saz bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.