ilm ka maqam
aao bachcho tum ko batā.eñ
āñkhoñ dekhā haal sunā.eñ
ham ne is duniyā meñ rah kar
kaisā kaisā dekhā manzar
garmī dekhī sardī dekhī
tezī dekhī narmī dekhī
bādal dekhā paanī dekhā
dariyā kī tuġhyānī dekhā
kelā dekhā aam bhī dekhā
pista aur bādām bhī dekhā
rañg birañge phuul bhī dekhe
hare gulābī niile piile
umr kī sub.h shaam bhī dekhā
taklīf-o-ārām bhī dekhā
mazdūroñ kī mehnat dekhī
un kī qadr-o-qīmat dekhī
be-kāroñ kā ronā dekhā
vaqt ko apne khonā dekhā
aur na pūchho kyā kyā dekhā
chaltā phirtā paisa dekhā
paisa hai ik aisī tāqat
jis meñ hai duniyā kī azmat
jāhil ko bhī aaqil ko bhī
nāqis ko bhī kāmil ko bhī
paise kā dam bharte dekhā
jhuuT ko bhī sach karte dekhā
lekin daulat se bhī baḌh kar
ham ne dekhā hai vo gauhar
paise par bhī raaj hai jis kā
paisa bhī muhtāj hai jis kā
jis kī hai duniyā bhī saa.il
jis kā hai paisa bhī qaa.il
jis ne sab ko shaad kiyā hai
paise ko ījād kiyā hai
jis kī badaulat aage baḌh kar
aadmī pahuñchā chāñd ke uupar
us gauhar kā naam hai pyārā
us kā saarā kaam hai pyārā
ilm use kahte haiñ jahāñ meñ
azmat jis kī kaun-o-makāñ meñ
ilm hai duniyā kī sachchā.ī
duur huī hai is se burā.ī
aao bachcho tum ko bataen
aankhon dekha haal sunaen
hum ne is duniya mein rah kar
kaisa kaisa dekha manzar
garmi dekhi sardi dekhi
tezi dekhi narmi dekhi
baadal dekha pani dekha
dariya ki tughyani dekha
kela dekha aam bhi dekha
pista aur baadam bhi dekha
rang birange phul bhi dekhe
hare gulabi nile pile
umr ki subh sham bhi dekha
taklif-o-aram bhi dekha
mazduron ki mehnat dekhi
un ki qadr-o-qimat dekhi
be-karon ka rona dekha
waqt ko apne khona dekha
aur na puchho kya kya dekha
chalta phirta paisa dekha
paisa hai ek aisi taqat
jis mein hai duniya ki azmat
jahil ko bhi aaqil ko bhi
naqis ko bhi kaamil ko bhi
paise ka dam bharte dekha
jhuT ko bhi sach karte dekha
lekin daulat se bhi baDh kar
hum ne dekha hai wo gauhar
paise par bhi raj hai jis ka
paisa bhi muhtaj hai jis ka
jis ki hai duniya bhi sail
jis ka hai paisa bhi qail
jis ne sab ko shad kiya hai
paise ko ijad kiya hai
jis ki badaulat aage baDh kar
aadmi pahuncha chand ke upar
us gauhar ka nam hai pyara
us ka sara kaam hai pyara
ilm use kahte hain jahan mein
azmat jis ki kaun-o-makan mein
ilm hai duniya ki sachchai
dur hui hai is se burai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.