ganga
ai āb-rūd-e-gañgā uf rī tirī safā.ī
ye terā husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubā.ī
terī tajalliyāñ haiñ jalva-farosh ma.anī
tanvīr meñ hai terī ik shān-e-kibriyā.ī
jamunā tirī sahelī go saath kī hai khelī
us meñ magar kahāñ hai terī sī jāñ-fazā.ī
be-laus terā dāman hai dāġh-e-ma.asiyat se
mauzūñ hai tere qad par malbūs-e-pārsā.ī
dil-band ham haiñ tere laḳht-e-jigar haiñ tere
naḳhl-e-murād hai tau aur ham samar haiñ tere
mīnū-savād tujh se haiñ vādiyāñ hamārī
aur kisht-e-ārzū hai rashk-e-jināñ hamārī
vo din bhī hogā hoñge jab ham ġharīq-e-rahmat
aur terī nazr hoñgī ye haDDiyāñ hamārī
gañgā meñ pheñk aanā ba.ad-e-fanā uThā kar
barbād ho na miTTī o āsmāñ hamārī
yārab na dafn kar ke ahbāb bhuul jaa.eñ
le kar hamāre ḳhush ḳhush gañgā ko phuul jaa.eñ
o paak nāznīn o phūloñ ke gahne vaalī
sarsabz vādiyoñ ke dāman meñ bahne vaalī
o nāz-āfrīñ o sidq-o-safā kī devī
o iffat-e-mujassam parbat kī rahne vaalī
salle-alā ye terī maujoñ kā gungunānā
vahdat kā ye tarāna o chup na rahne vaalī
husn-e-ġhayūr terā hai be-niyāz hastī
to bahr-e-ma.arfat hai o pāk-bāz hastī
haañ tujh ko justujū hai kis bahr-e-be-karāñ kī
ham par to kuchh haqīqat khultī nahīñ jahāñ kī
ai parda-soz imkāñ ai jalva-rez irfāñ
to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitāñ kī
kyuuñ jāda-e-talab meñ phirtī kashāñ kashāñ hai
tujh ko talāsh hai kis gum-gashta kārvāñ kī
jaatī hai tū kahāñ ko aatī hai tū kahāñ se
dil-bastagī hai tujh ko kis bahr-e-be-nishāñ se
aa.ī nazar tajallī jab shāhid azal kī
zarroñ meñ jā ke chamkī phūloñ meñ jā ke jhalkī
hindostān hai ik dariyā-e-husn-e-qudrat
aur us meñ pañkhuḌī hai tū ḳhushnumā kañval kī
niklī himaliya se mahv-e-ḳharosh ho kar
tū aah tishna-lab thī vo jalva-e-azal kī
kartī huī zamīñ par motī nisār aa.ī
darshan ko aah har ke tū haridvār aa.ī
ye josh-e-sabza-e-gul ye terī āb-bārī
qudrat ke chappe chappe par ye shagūfa-kārī
hindostāñ ko tū ne jannat-nishāñ banāyā
nahreñ kahāñ kahāñ haiñ tere karam kī jaarī
ai āb-rūd-e-gañgā maujoñ meñ tere mil kar
mauj-e-sarāb-e-hastī ho be-nishāñ hamārī
ba.ad-e-fanā hamāre phūloñ meñ bū ho terī
gum hoñ rah-e-talab meñ to justujū ho terī
aa.e ajal kī zau par jab apnī umr-e-fānī
aur ḳhatm rafta rafta ho sail-e-zindagānī
duniyā se aah jab ho apnī safar kā sāmāñ
bālīñ pe aqrbāñ hoñ sargarm-e-nauha-ḳhvānī
jab hoñT ḳhushk hoñ aur dushvār ho tanaffus
ahbāb apne muñh meñ Tapkā.eñ terā paanī
hañste hue jahāñ se ham shād-kām jaa.eñ
duniyā se pī ke terī ulfat kā jaam jaa.eñ
ai aab-rud-e-ganga uf ri teri safai
ye tera husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubai
teri tajalliyan hain jalwa-farosh mani
tanwir mein hai teri ek shan-e-kibriyai
jamuna teri saheli go sath ki hai kheli
us mein magar kahan hai teri si jaan-fazai
be-laus tera daman hai dagh-e-masiyat se
mauzun hai tere qad par malbus-e-parsai
dil-band hum hain tere laKHt-e-jigar hain tere
naKHl-e-murad hai tau aur hum samar hain tere
minu-sawad tujh se hain wadiyan hamari
aur kisht-e-arzu hai rashk-e-jinan hamari
wo din bhi hoga honge jab hum ghariq-e-rahmat
aur teri nazr hongi ye haDDiyan hamari
ganga mein phenk aana baad-e-fana uTha kar
barbaad ho na miTTi o aasman hamari
yarab na dafn kar ke ahbab bhul jaen
le kar hamare KHush KHush ganga ko phul jaen
o pak naznin o phulon ke gahne wali
sarsabz wadiyon ke daman mein bahne wali
o naz-afrin o sidq-o-safa ki dewi
o iffat-e-mujassam parbat ki rahne wali
salle-ala ye teri maujon ka gungunana
wahdat ka ye tarana o chup na rahne wali
husn-e-ghayur tera hai be-niyaz hasti
to bahr-e-marfat hai o pak-baz hasti
han tujh ko justuju hai kis bahr-e-be-karan ki
hum par to kuchh haqiqat khulti nahin jahan ki
ai parda-soz imkan ai jalwa-rez irfan
to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitan ki
kyun jada-e-talab mein phirti kashan kashan hai
tujh ko talash hai kis gum-gashta karwan ki
jati hai tu kahan ko aati hai tu kahan se
dil-bastagi hai tujh ko kis bahr-e-be-nishan se
aai nazar tajalli jab shahid azal ki
zarron mein ja ke chamki phulon mein ja ke jhalki
hindostan hai ek dariya-e-husn-e-qudrat
aur us mein pankhuDi hai tu KHushnuma kanwal ki
nikli himaliya se mahw-e-KHarosh ho kar
tu aah tishna-lab thi wo jalwa-e-azal ki
karti hui zamin par moti nisar aai
darshan ko aah har ke tu haridwar aai
ye josh-e-sabza-e-gul ye teri aab-bari
qudrat ke chappe chappe par ye shagufa-kari
hindostan ko tu ne jannat-nishan banaya
nahren kahan kahan hain tere karam ki jari
ai aab-rud-e-ganga maujon mein tere mil kar
mauj-e-sarab-e-hasti ho be-nishan hamari
baad-e-fana hamare phulon mein bu ho teri
gum hon rah-e-talab mein to justuju ho teri
aae ajal ki zau par jab apni umr-e-fani
aur KHatm rafta rafta ho sail-e-zindagani
duniya se aah jab ho apni safar ka saman
baalin pe aqrban hon sargarm-e-nauha-KHwani
jab honT KHushk hon aur dushwar ho tanaffus
ahbab apne munh mein Tapkaen tera pani
hanste hue jahan se hum shad-kaam jaen
duniya se pi ke teri ulfat ka jam jaen
- Tasvir-e-Manazil (Jild Avval)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.