tota maina
ek thā totā ek thī mainā
thā ik saath meñ un kā rahnā
lekin honī ne dikhlāyā
mainā ko sab ne bahkāyā
terā totā to hai khoTā
bhaddā sā hai aur hai moTā
chhoḌo us ko phir sukh paao
chain kī bansī baiTh bajāo
laḌne meñ mainā ne na sochā
jhagḌā karke par ko nochā
chalī mainā phir byaah rachāne
ḳhvāb sajāne aur sukh paane
man se phir āvāz ye aa.ī
niklā gar vo bhī harjā.ī
terā paglī phir kyā hogā
jag saarā tujh par thūkegā
gar tū ne ḳhud sochā hotā
ruuTh ke jaatā kyoñ phir totā
auroñ kī tū baat meñ aa.ī
ho jā.egī jag meñ hañsā.ī
ab bhī to hai kuchh nahīñ bigḌā
muaaf karā lo apnā jhagḌā
soch ke uTThī chalī manāne
apnā phir sansār basāne
totā bhī thā baḌā siyānā
us ne us kī baat ko maanā
mainā ko bas muaaf karāyā
apnā dil bhī saaf karāyā
pyāre bachcho bhuul na jaanā
auroñ kī mat baat meñ aanā
ek tha tota ek thi maina
tha ek sath mein un ka rahna
lekin honi ne dikhlaya
maina ko sab ne bahkaya
tera tota to hai khoTa
bhadda sa hai aur hai moTa
chhoDo us ko phir sukh pao
chain ki bansi baiTh bajao
laDne mein maina ne na socha
jhagDa karke par ko nocha
chali maina phir byah rachane
KHwab sajaane aur sukh pane
man se phir aawaz ye aai
nikla gar wo bhi harjai
tera pagli phir kya hoga
jag sara tujh par thukega
gar tu ne KHud socha hota
ruTh ke jata kyon phir tota
auron ki tu baat mein aai
ho jaegi jag mein hansai
ab bhi to hai kuchh nahin bigDa
muaf kara lo apna jhagDa
soch ke uTThi chali manane
apna phir sansar basane
tota bhi tha baDa siyana
us ne us ki baat ko mana
maina ko bas muaf karaya
apna dil bhi saf karaya
pyare bachcho bhul na jaana
auron ki mat baat mein aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.