tota
tum ne kyā dekhā hai totā
rang harā hai pyārā pyārā
muḌī huī hai choñch sire par
rangat us kī laal hai ḳhush-tar
dum lambī aur hare hare par
jaatā hai har jā ye uḌ kar
patlī sī Tahnī ke uupar
baiThtā hai ye totā chaḌh kar
jahāñ bhī hai ye aatā jaatā
umda umda meve khātā
is meñ haiñ gun pyāre saare
sab haiñ is ke chāhne vaale
pyārī bāteñ haiñ ye sunātā
dil kā sab dukh hai ye miTātā
tum bhī samajh lo ye ai laḌko
jo ustād batā.e sīkho
kaam karo tum aise pyāre
ghar bhar ke ho jaao dulāre
saarī duniyā tum ko chāhe
giit tumhāre ghar ghar gaay
varna tumhārī durgat hogī
sab ko tum se nafrat hogī
'jauhar' kī is baat ko maano
dost use tum apnā jaano
tum ne kya dekha hai tota
rang hara hai pyara pyara
muDi hui hai chonch sire par
rangat us ki lal hai KHush-tar
dum lambi aur hare hare par
jata hai har ja ye uD kar
patli si Tahni ke upar
baiThta hai ye tota chaDh kar
jahan bhi hai ye aata jata
umda umda mewe khata
is mein hain gun pyare sare
sab hain is ke chahne wale
pyari baaten hain ye sunata
dil ka sab dukh hai ye miTata
tum bhi samajh lo ye ai laDko
jo ustad batae sikho
kaam karo tum aise pyare
ghar bhar ke ho jao dulare
sari duniya tum ko chahe
git tumhaare ghar ghar gay
warna tumhaari durgat hogi
sab ko tum se nafrat hogi
'jauhar' ki is baat ko mano
dost use tum apna jaano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.