touch screen
maiñ apnī shā.irī
ik diary meñ note kartā thā
koī ehsās mujh meñ nazm bhartā
yā koī misra utartā thā
to sab se pahle mujh ko
note-bōk darkār hotī thī
jahāñ kāġhaz kī hiddat se
qalam kī raushnā.ī kī harārat se
ġhazal tayyār hotī thī
binā is dhīmī dhīmī aañch ke
mere liye har nazm hī dushvār hotī thī
phir ik din mujh ko chāchā-zād bhaa.ī ne ye batlāyā
vo ḳhud bhī naujavāñ urdu kā shā.ir hai
vo apnī shā.irī cell-phone meñ mahfūz kartā hai
so jab chāhe use paḌhtā hai
auroñ se share karke unheñ mahzūz kartā hai
use bijlī ke aane jaane se
kuchh farq paḌtā hī nahīñ
na hī use din raat se kuchh lenā denā hai
use jab shā.irī karnī ho
to kāġhaz qalam kī khoj meñ
lamha talak zaa.e.a nahīñ kartā
jahāñ vo sher apnā note kartā hai
añdherā bhī vahāñ saaya nahīñ kartā
so us kī baat sun kar
maiñ ne apnī Diary sambhāl lī
aur apne mobile meñ misra likhte likhte
dost kī ik kaal lī
phir kaal ghanToñ tak chalī
be-kār kī ḳhvāhish vo misra puurā karne kī
mere andar palī
lekin vo phir jaatī rahī
phir yuuñ huā jab bhī koī ilhām
mere dar ko khaTkātā rahā
jab kaifiyat koī mere ehsās tak aatī rahī
maiñ us samay
cell-phone ko DhūñDā kiyā
lekin vahāñ ehsās ko ik rabt meñ
tahrīr kar paane se pahle
bīsoñ be-rabt behis notifications
merī scrēn par zāhir hue
aur ham hamesha ke liye kuchh likhne se qāsir hue
gum ho ga.e in be-hisoñ kī fauj meñ
aa.ī na merī shā.irī phir mauj meñ
ab sochtā huuñ kyā purānī diary behtar nahīñ
dīvān merā phone ke andar nahīñ
touch scrēn ke us paar hai
shāyad mere alfāz kī yak-bastagī ko
sirf kāġhaz kī tapish darkār hai
main apni shairi
ek diary mein note karta tha
koi ehsas mujh mein nazm bharta
ya koi misra utarta tha
to sab se pahle mujh ko
note-book darkar hoti thi
jahan kaghaz ki hiddat se
qalam ki raushnai ki hararat se
ghazal tayyar hoti thi
bina is dhimi dhimi aanch ke
mere liye har nazm hi dushwar hoti thi
phir ek din mujh ko chacha-zad bhai ne ye batlaya
wo KHud bhi naujawan urdu ka shair hai
wo apni shairi cell-phone mein mahfuz karta hai
so jab chahe use paDhta hai
auron se share karke unhen mahzuz karta hai
use bijli ke aane jaane se
kuchh farq paDta hi nahin
na hi use din raat se kuchh lena dena hai
use jab shairi karni ho
to kaghaz qalam ki khoj mein
lamha talak zaea nahin karta
jahan wo sher apna note karta hai
andhera bhi wahan saya nahin karta
so us ki baat sun kar
main ne apni Diary sambhaal li
aur apne mobile mein misra likhte likhte
dost ki ek kal li
phir kal ghanTon tak chali
be-kar ki KHwahish wo misra pura karne ki
mere andar pali
lekin wo phir jati rahi
phir yun hua jab bhi koi ilham
mere dar ko khaTkata raha
jab kaifiyat koi mere ehsas tak aati rahi
main us samay
cell-phone ko DhunDa kiya
lekin wahan ehsas ko ek rabt mein
tahrir kar pane se pahle
bison be-rabt behis notifications
meri screen par zahir hue
aur hum hamesha ke liye kuchh likhne se qasir hue
gum ho gae in be-hison ki fauj mein
aai na meri shairi phir mauj mein
ab sochta hun kya purani diary behtar nahin
diwan mera phone ke andar nahin
touch screen ke us par hai
shayad mere alfaz ki yak-bastagi ko
sirf kaghaz ki tapish darkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.