traffic
ye shahr-e-sitam maar detā hai mujh ko
sar-e-rāh shām-o-sahar ke kināre
nazār-o-pareshāñ maiñ shorīda-sar
azhdahām-e-kasālat meñ gum
apne chāroñ taraf ik nazar Dāltā huuñ
to ye sochtā huuñ
ki ye gāḌiyāñ haiñ
yā gāḌī-numā vahshateñ reñgtī haiñ
mujhe vahshateñ Das rahī haiñ
thakan se badan meñ darāḌeñ paḌīñ haiñ
koī manzil-e-be-nishāñ tak nahīñ hai
qadam mere bojhal
mire dast-o-pā shal
nazar aise pathrā ga.ī hai ki jaise
zamīñ ruk ga.ī ho
samajh aise ghabrā ga.ī hai ki jaise
ḳhirad bāḳhtā ho
magar mere panje zamām-e-sitam-hā.e-jāñ musalsal gaḌe haiñ
mayassar nahīñ hai jinheñ istirāhat kā pal
faqat ek hī pal
mire dast-o-pā shal
ziyāfat hai saḌkoñ kī mere
ye ghuTan kī fazā aur ye kaalā dhuāñ
siskiyoñ kī paleToñ meñ vaqt abas hai
ziyāñ ham-nafas hai
qafas hai saḌak hai saḌak hai qafas hai
qafas meñ qatāroñ kī lambī fasīleñ
fasīloñ ke ḳhauf-e-junūñ-ḳhez meñ ab
masāfat tavālat pakaḌne lagī yuuñ
saḌak ban ga.ī ek daldal
mire dast-o-pā shal
ḳhamoshī mire dil ke kone meñ sahmī Darī
shor ke terā ifrīt se bhaag kar
aa ga.ī thī magar
gosh-e-muflis meñ behudgī zahr ban kar
badan kī mulā.em ragoñ ko sukhāne lagī hai
bahut jald dil tak pahuñch jaa.e kī
ḳhāmushī ko dabochegī khā jā.egī
ai mata-e-hunar
mere dil se nikal
yā mirī aag meñ jal
mire dast-o-pā shal
ba-zāhir jo sīdhe nazar aa rahe haiñ
ye sab rāste dā.eroñ kī tarah haiñ
vajūd-e-malāmat meñ phaile hue
be-karāñ fāsloñ ke nishāñ haiñ
jahāñ ḳhilqat-e-be-amāñ ke liye
roz-o-shab marg-e-paiham sazā-vār hone lage haiñ
ye shahr-e-sitam mar deta hai mujh ko
sar-e-rah sham-o-sahar ke kinare
nazar-o-pareshan main shorida-sar
azhdaham-e-kasalat mein gum
apne chaaron taraf ek nazar Dalta hun
to ye sochta hun
ki ye gaDiyan hain
ya gaDi-numa wahshaten rengti hain
mujhe wahshaten Das rahi hain
thakan se badan mein daraDen paDin hain
koi manzil-e-be-nishan tak nahin hai
qadam mere bojhal
mere dast-o-pa shal
nazar aise pathra gai hai ki jaise
zamin ruk gai ho
samajh aise ghabra gai hai ki jaise
KHirad baKHta ho
magar mere panje zamam-e-sitam-hae-jaan musalsal gaDe hain
mayassar nahin hai jinhen istirahat ka pal
faqat ek hi pal
mere dast-o-pa shal
ziyafat hai saDkon ki mere
ye ghuTan ki faza aur ye kala dhuan
siskiyon ki paleTon mein waqt abas hai
ziyan ham-nafas hai
qafas hai saDak hai saDak hai qafas hai
qafas mein qataron ki lambi fasilen
fasilon ke KHauf-e-junun-KHez mein ab
masafat tawalat pakaDne lagi yun
saDak ban gai ek daldal
mere dast-o-pa shal
KHamoshi mere dil ke kone mein sahmi Dari
shor ke tera ifrit se bhag kar
aa gai thi magar
gosh-e-muflis mein behudgi zahr ban kar
badan ki mulaem ragon ko sukhane lagi hai
bahut jald dil tak pahunch jae ki
KHamushi ko dabochegi kha jaegi
ai mata-e-hunar
mere dil se nikal
ya meri aag mein jal
mere dast-o-pa shal
ba-zahir jo sidhe nazar aa rahe hain
ye sab raste daeron ki tarah hain
wajud-e-malamat mein phaile hue
be-karan faslon ke nishan hain
jahan KHilqat-e-be-aman ke liye
roz-o-shab marg-e-paiham saza-war hone lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.