Trip
kal shab phone kiyā jab tum ne
haule haule se yuuñ bole
jānāñ sun lo
tum ne aa kar chāhat kā ehsās dilā kar
mere dil ko jiit liyā hai
itnī jaldī vāpas kyoñ tum lauT ga.ī ho
palaT ke ek nazar bhī na dekhā
us kī jānib
aaj talak jo dekh rahā hai raah tumhārī
jis ko sach-much maar ga.ī hai chaah tumhārī
kal shab phone kiya jab tum ne
haule haule se yun bole
jaanan sun lo
tum ne aa kar chahat ka ehsas dila kar
mere dil ko jit liya hai
itni jaldi wapas kyon tum lauT gai ho
palaT ke ek nazar bhi na dekha
us ki jaanib
aaj talak jo dekh raha hai rah tumhaari
jis ko sach-much mar gai hai chah tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.