Trip
saañp kā zahr
hamāre jism meñ dāḳhil ho kar
mastī meñ na.ara lagātā hai
ḳhuun kī har buuñd meñ utarte hue
lutf-o-imbisāt se
nāchne lagtā hai
hamārā badan
is ke liye
tamām shiryānoñ ke dar khol detā hai
mudāfa.at ke liye banā.e ga.e tamām morche
munhadim ho jaate haiñ
chand ghanToñ meñ
saarā jism tārāj ho jaatā hai
thakan se chuur zahr
ek niiñd lene kā faisla kartā hai
lekin us kī niiñd jald hī TuuT jaatī hai
hamāre badan kā ta.affun us kī bardāsht se bāhar hai
jism ke añdhere meñ
saañp kā zahr
Thokareñ khātā phirtā hai
ise jism se bāhar nikalne kā rāsta nahīñ miltā
vo dauḌ dauḌ kar haañp jaatā hai
ek murda badan meñ
eḌiyāñ ragaḌ ragaḌ kar
bil-āḳhir
ḳhud bhī mar jaatā hai
sanp ka zahr
hamare jism mein daKHil ho kar
masti mein nara lagata hai
KHun ki har bund mein utarte hue
lutf-o-imbisat se
nachne lagta hai
hamara badan
is ke liye
tamam shiryanon ke dar khol deta hai
mudafat ke liye banae gae tamam morche
munhadim ho jate hain
chand ghanTon mein
sara jism taraj ho jata hai
thakan se chur zahr
ek nind lene ka faisla karta hai
lekin us ki nind jald hi TuT jati hai
hamare badan ka taffun us ki bardasht se bahar hai
jism ke andhere mein
sanp ka zahr
Thokaren khata phirta hai
ise jism se bahar nikalne ka rasta nahin milta
wo dauD dauD kar hanp jata hai
ek murda badan mein
eDiyan ragaD ragaD kar
bil-aKHir
KHud bhi mar jata hai
- Book : aaj (Pg. 353)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.