tufaili sayyara
vo ik lamha jis kī talāsh meñ
maiñ ne apne arz-o-samā kī
pur-asrār kashish se nikal kar
ek ḳhayāl-afroz ḳhalā meñ jast lagā dī
aur apne mehvar se bichhaḌ kar
is be chehra kāhkashāñ ke
dūsre sayyāroñ ke asar meñ
gardish karne aur bhaTakte rahne meñ
ik umr gañvā dī
vo lamha ik jugnū ban kar
jaltā bujhtā
ab bhī mirī ummīdoñ kī
ḳhush-fahm nigāhoñ kī zad par hai
raushnī kī raftār se maiñ masrūf-e-safar huuñ
phir bhī mirī raushan āñkhoñ se
is sīmāb sifat jugnū kā
fāsla ek hī had par hai
aur ab shāyad
vaqt to sākit hone kī sarhad par hai
mere vajūd pe
ik be-nām thakan taarī hai
lekin phir bhī
merā ta.āqub jaarī hai
wo ek lamha jis ki talash mein
main ne apne arz-o-sama ki
pur-asrar kashish se nikal kar
ek KHayal-afroz KHala mein jast laga di
aur apne mehwar se bichhaD kar
is be chehra kahkashan ke
dusre sayyaron ke asar mein
gardish karne aur bhaTakte rahne mein
ek umr ganwa di
wo lamha ek jugnu ban kar
jalta bujhta
ab bhi meri ummidon ki
KHush-fahm nigahon ki zad par hai
raushni ki raftar se main masruf-e-safar hun
phir bhi meri raushan aankhon se
is simab sifat jugnu ka
fasla ek hi had par hai
aur ab shayad
waqt to sakit hone ki sarhad par hai
mere wajud pe
ek be-nam thakan tari hai
lekin phir bhi
mera taaqub jari hai
- Book : Asaleeb (Pg. 188)
- Author : anbarin haseeb anbar
- Publication : Asaleeb publication (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.