tujh mein sab manzar mahfuz
nanhe-munne aañsū terī umr-e-darāz
tujh meñ saarī duniyā kā manzar mahfūz
tū saare lamhoñ kā saaz
tere andar qaus-e-quzah ke sātoñ rañgoñ ke jharne
jagmag karte sūraj chāñd
sabz samundar
dhānī mausam kī ḳhushbū
haath pasāre kaale mausam kā jaadū
aur dahakte añgāroñ ke surḳh mahl
tū bāzār, gharoñ aur chaurāhoñ kā hākim
mamtā kī raushan tasvīr
saare ḳhasta
nīm-barhana ḳhāk-ālūd ajsām kī ik raḳhshāñ tahrīr
tere aage
shāhoñ aur shahanshāhoñ ke
taaj bhī aa kar jhuk jaate haiñ
dekho to ik nanhā qatra
lekin ek baḌā tūfān
nanhe-munne aañsū
terī umr-e-darāz
nanhe-munne aansu teri umr-e-daraaz
tujh mein sari duniya ka manzar mahfuz
tu sare lamhon ka saz
tere andar qaus-e-quzah ke saton rangon ke jharne
jagmag karte suraj chand
sabz samundar
dhani mausam ki KHushbu
hath pasare kale mausam ka jadu
aur dahakte angaron ke surKH mahl
tu bazar, gharon aur chaurahon ka hakim
mamta ki raushan taswir
sare KHasta
nim-barhana KHak-alud ajsam ki ek raKHshan tahrir
tere aage
shahon aur shahanshahon ke
taj bhi aa kar jhuk jate hain
dekho to ek nanha qatra
lekin ek baDa tufan
nanhe-munne aansu
teri umr-e-daraaz
- Book : Hukm Nama (Pg. 17)
- Author : SultanSubhaanii
- Publication : Sardar Art Press Malegaon (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.