tujhe bhi yaad to hoga
kabhī havā
ik jhoñkā hai jo
dīvāroñ ko phāñd ke akasr
halkī sī ek chaap meñ Dhal kar
sahn meñ phirtā rahtā hai
kabhī havā
ik sargoshī hai
jo khiḌkī se lag kar pahroñ
ḳhud se bāteñ kartī hai
kabhī havā
vo mauj-e-sabā hai
jis ke pahle hī bose par
nannhī munnī kaliyoñ kī
nindiyā se bojhal
suujī āñkheñ khul jaatī haiñ
kabhī havā
ab kaise batā.eñ
havā ke ruup to lākhoñ haiñ
par us kā vo ik ruup
tujhe bhī yaad to hogā
jab sannāTe
porī porī TuuT gire the
chaap ke paañv
ukhaḌ ga.e the
sargoshī par
kitnī chīḳheñ jhapaT paḌī thiiñ
aur phūloñ kī āñkhoñ se
shabnam kī būñdeñ
farsh-e-zamīñ par
chāroñ jānib bikhar ga.ī thiiñ
kabhi hawa
ek jhonka hai jo
diwaron ko phand ke akasr
halki si ek chap mein Dhal kar
sahn mein phirta rahta hai
kabhi hawa
ek sargoshi hai
jo khiDki se lag kar pahron
KHud se baaten karti hai
kabhi hawa
wo mauj-e-saba hai
jis ke pahle hi bose par
nannhi munni kaliyon ki
nindiya se bojhal
suji aankhen khul jati hain
kabhi hawa
ab kaise bataen
hawa ke rup to lakhon hain
par us ka wo ek rup
tujhe bhi yaad to hoga
jab sannaTe
pori pori TuT gire the
chap ke panw
ukhaD gae the
sargoshi par
kitni chiKHen jhapaT paDi thin
aur phulon ki aankhon se
shabnam ki bunden
farsh-e-zamin par
chaaron jaanib bikhar gai thin
- Book : Tasteer(Issue No. 9,10 July/August. 1999) (Pg. 254)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : C-56,LDA Flats, Chanaab Block, Iqbaal Town, Lahore (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.