tujhe dekhne ke baad
yuuñ lagtā hai
jaise
sub.h kā manzar ufaq ke maile-pan ko dho rahā ho
shaam ke vaqt āsmāñ ne tevar badle hoñ
koī bai-rāgī sāhil pe khaḌā
kisī suufī shā.ir kā kalām gungunātā rahā ho
yuuñ lagtā hai jaise
balcony meñ baiThā
lahlahāte khetoñ kā nazāra karte
koī shā.ir mahv-e-taḳhlīq-e-suḳhan
jis ke zehn se ḳhūb-sūratī bikhertā huā ābshār
mus.haf-e-zamīñ ko chuum rahā ho
yuuñ lagtā hai jaise
mast adāoñ se bal khātī huī koī nadī
sāgar se milne ko be-tāb ho
yuuñ lagtā hai jaise
koī farishta mā.il-e-tabassum
aksar yahī ḳhayāl aatā hai
tujhe dekhne ke ba.ad
yun lagta hai
jaise
subh ka manzar ufaq ke maile-pan ko dho raha ho
sham ke waqt aasman ne tewar badle hon
koi bai-ragi sahil pe khaDa
kisi sufi shair ka kalam gungunata raha ho
yun lagta hai jaise
balcony mein baiTha
lahlahate kheton ka nazara karte
koi shair mahw-e-taKHliq-e-suKHan
jis ke zehn se KHub-surati bikherta hua aabshaar
mushaf-e-zamin ko chum raha ho
yun lagta hai jaise
mast adaon se bal khati hui koi nadi
sagar se milne ko be-tab ho
yun lagta hai jaise
koi farishta mail-e-tabassum
aksar yahi KHayal aata hai
tujhe dekhne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.