tujhe KHud se alag kaise karun main
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ meñ
tujhe jab khīñchtā huuñ ḳhud se bāhar
khiñchā aatā huuñ maiñ bhī saath tere
ajab sā jism merā ho gayā hai
hai jis meñ paañv mere haath tere
zabāñ apnī agar ḳhāmosh kar duuñ
tirī bāteñ ishāre bolte haiñ
jigar jaañ dil nazar jis ko bhī dekho
tirā hī naam saare bolte haiñ
huī hai jazb mujh meñ is qadar tū
maiñ huuñ aḳhbār to merī ḳhabar tū
ab apne safhoñ meñ tujh ko paḌhūñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
ragoñ meñ ab ''merī terā lahū hai
mirī sūrat bhī tujh sī hū-ba-hū hai
bahut arse se ḳhud meñ maiñ huuñ ġhā.eb
sarāpā jism meñ ab tū hī tū hai
makāñ huuñ maiñ tū bām-o-dar hai merā
tū ḳhadd-o-ḳhāl hai paikar hai merā
ye tere ishq kā har sū asar hai
jamāl-o-rañg sab behtar hai merā
vajūd aksar maiñ apnā bhūltā huuñ
bharam meñ tere ḳhud ko chūmtā huuñ
tirī vahshat meñ hī paañv sukūñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
hai merī raat meñ ab niiñd terī
ham ik duuje meñ yuuñ kho.e hue haiñ
hamāre ḳhvāb bhī ik dūsre ke
badan ko oḌh kar so.e hue haiñ
mire takiye meñ terī ḳhushbueñ haiñ
mirī chādar pe terī silvaTeñ haiñ
tū rahtī hai mire pahlū meñ har dam
mire bistar pe terī karvaTeñ haiñ
ho shāmeñ roz rāteñ yā sahar ho
koī bhī vaqt ho koī pahar ho
tasavvur meñ tire Duubā rahūñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
ye kahne ko hai merī dāstāñ par
sabhī aurāq meñ qisse haiñ tere
hai nā-mumkin inheñ gin paa.e koī
mere andar ka.ī qisse haiñ tere
badan huuñ maiñ merī añgḌā.ī hai tū
mere ehsās kī ra.anā.ī hai tū
badaulat tere duniyā dekhtā huuñ
nazar kā nuur hai bīnā.ī hai tū
munavvar ho gayā bin rañg roġhan
merā chehra tere javoñ se raushan
tirī raunaq meñ duniyā ko dikhūñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
maiñ shā.ir tū mirī rūmāniyat hai
maiñ fursat tū mirī masrūfiyat hai
merī taqrīr meñ tere qasīde
mirī tahrīr meñ terī sifat hai
merī har baat hai tārīf terī
merā har lafz terī kaifiyat hai
meñ sāmāñ huuñ to tū qīmat hai merī
maiñ rutba huuñ to merī haisiyat hai
simaTtī hai vahāñ har fikr merī
jahāñ tū bol de sab ḳhairiyat hai
duāoñ meñ tirā hī naam luuñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
kalā.ī meñ to chauḌī kā khanaknā
ġharaz meñ ā.īna to hai sañvarnā
maiñ jaise dasht meñ huuñ raah koī
to is par ik musāfir kā guzarnā
maiñ jaise taal detā saaz koī
to raqqāsa kā is lai par thiraknā
maiñ huuñ be-nūr sī ik jhiil aur tū
hai is par māh-e-kāmil kā utarnā
tū chehra ḳhūbsūrat maiñ huuñ parda
merā maqsad tujhe mahfūz rakhnā
terī zīnat kā pahre-dār huuñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
zabāñ urdu meñ tū merī nafāsat
agar maiñ lucknow tū hai nazākat
re.āyā huuñ maiñ is suube kā jis meñ
hamesha se rahī terī hukūmat
agar maiñ sar huuñ to dastār tū hai
maiñ vo shamshīr jis kī dhaar tū hai
maiñ huuñ poshāk tū hai itr merā
maiñ huuñ roza to phir iftār tū hai
mahīna maiñ agar ramzān kā to
mubārak eid kā tyauhār tū hai
nazīreñ aur kitnī terī duuñ maiñ
tujhe ḳhud se alag kaise karūñ maiñ
tujhe KHud se alag kaise karun mein
tujhe jab khinchta hun KHud se bahar
khincha aata hun main bhi sath tere
ajab sa jism mera ho gaya hai
hai jis mein panw mere hath tere
zaban apni agar KHamosh kar dun
teri baaten ishaare bolte hain
jigar jaan dil nazar jis ko bhi dekho
tera hi nam sare bolte hain
hui hai jazb mujh mein is qadar tu
main hun aKHbar to meri KHabar tu
ab apne safhon mein tujh ko paDhun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
ragon mein ab meri tera lahu hai
meri surat bhi tujh si hu-ba-hu hai
bahut arse se KHud mein main hun ghaeb
sarapa jism mein ab tu hi tu hai
makan hun main tu baam-o-dar hai mera
tu KHadd-o-KHal hai paikar hai mera
ye tere ishq ka har su asar hai
jamal-o-rang sab behtar hai mera
wajud aksar main apna bhulta hun
bharam mein tere KHud ko chumta hun
teri wahshat mein hi panw sukun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
hai meri raat mein ab nind teri
hum ek duje mein yun khoe hue hain
hamare KHwab bhi ek dusre ke
badan ko oDh kar soe hue hain
mere takiye mein teri KHushbuen hain
meri chadar pe teri silwaTen hain
tu rahti hai mere pahlu mein har dam
mere bistar pe teri karwaTen hain
ho shamen roz raaten ya sahar ho
koi bhi waqt ho koi pahar ho
tasawwur mein tere Duba rahun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
ye kahne ko hai meri dastan par
sabhi auraq mein qisse hain tere
hai na-mumkin inhen gin pae koi
mere andar kai qisse hain tere
badan hun main meri angDai hai tu
mere ehsas ki ranai hai tu
badaulat tere duniya dekhta hun
nazar ka nur hai binai hai tu
munawwar ho gaya bin rang roghan
mera chehra tere jawon se raushan
teri raunaq mein duniya ko dikhun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
main shair tu meri rumaniyat hai
main fursat tu meri masrufiyat hai
meri taqrir mein tere qaside
meri tahrir mein teri sifat hai
meri har baat hai tarif teri
mera har lafz teri kaifiyat hai
mein saman hun to tu qimat hai meri
main rutba hun to meri haisiyat hai
simaTti hai wahan har fikr meri
jahan tu bol de sab KHairiyat hai
duaon mein tera hi nam lun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
kalai mein to chauDi ka khanakna
gharaz mein aaina to hai sanwarna
main jaise dasht mein hun rah koi
to is par ek musafir ka guzarna
main jaise tal deta saz koi
to raqqasa ka is lai par thirakna
main hun be-nur si ek jhil aur tu
hai is par mah-e-kaamil ka utarna
tu chehra KHubsurat main hun parda
mera maqsad tujhe mahfuz rakhna
teri zinat ka pahre-dar hun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
zaban urdu mein tu meri nafasat
agar main lucknow tu hai nazakat
reaya hun main is sube ka jis mein
hamesha se rahi teri hukumat
agar main sar hun to dastar tu hai
main wo shamshir jis ki dhaar tu hai
main hun poshak tu hai itr mera
main hun roza to phir iftar tu hai
mahina main agar ramzan ka to
mubarak eid ka tyauhaar tu hai
naziren aur kitni teri dun main
tujhe KHud se alag kaise karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.