tujhe mujhse mohabbat hai
mire sāthī mire dilbar
ye maanā har ghaḌī tujh ko satātī haiñ mirī yādeñ
mujhe hī DhūñDhtī rahtī haiñ terī sharbatī āñkheñ
mujhe ehsās hai dilbar tirī chashm-e-tavajjoh kā
mirī mānūs aahaT se
tirī soī huī dhaḌkan achānak jaag uThtī hai
ye maanā sard rātoñ kā har ik lamha
mirī yādoñ meñ Dhaltā hai
charāġh-e-jism jaltā hai
ye maanā har 'ibādat meñ du'ā ko haath jab uTTheñ
gulābī hoñT tere bas mirā hī naam japte haiñ
tirī mā'sūm chāhat kā baḌā hī mo'tarif huuñ maiñ
magar dilbar mujhe lafzoñ kī hājat hai
ye dil iqrār māñge hai
purāne sard lahjoñ par na.ī jhankār māñge hai
koī harf-e-tamannā ho
kabhī to 'ahd-o-paimāñ hoñ
falak ke chāñd taare bhī hamāre rāz-dāñ Thahreñ
koī mausam to aisā ho ki lab āzād ho jaa.eñ
kuchh aise lafz hī chun de
jo ik 'ahd-e-mohabbat kī na.ī buniyād ho jaa.eñ
koī tahrīr aisī ho shanāsā in havāoñ par
ki mausam bhī gavāhī deñ
tujhe mujh se mohabbat hai
mire sāthī mire dilbar
mujhe lafzoñ kī hājat hai
tū apne lab kī laalī se samay kī lauh par likh de
tujhe mujh se mohabbat hai
mere sathi mere dilbar
ye mana har ghaDi tujh ko satati hain meri yaaden
mujhe hi DhunDhti rahti hain teri sharbati aankhen
mujhe ehsas hai dilbar teri chashm-e-tawajjoh ka
meri manus aahaT se
teri soi hui dhaDkan achanak jag uThti hai
ye mana sard raaton ka har ek lamha
meri yaadon mein Dhalta hai
charagh-e-jism jalta hai
ye mana har 'ibaadat mein du'a ko hath jab uTThen
gulabi honT tere bas mera hi nam japte hain
teri ma'sum chahat ka baDa hi mo'tarif hun main
magar dilbar mujhe lafzon ki hajat hai
ye dil iqrar mange hai
purane sard lahjon par nai jhankar mange hai
koi harf-e-tamanna ho
kabhi to 'ahd-o-paiman hon
falak ke chand tare bhi hamare raaz-dan Thahren
koi mausam to aisa ho ki lab aazad ho jaen
kuchh aise lafz hi chun de
jo ek 'ahd-e-mohabbat ki nai buniyaad ho jaen
koi tahrir aisi ho shanasa in hawaon par
ki mausam bhi gawahi den
tujhe mujh se mohabbat hai
mere sathi mere dilbar
mujhe lafzon ki hajat hai
tu apne lab ki lali se samay ki lauh par likh de
tujhe mujh se mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.