tujhe tahrir kiya
ek ik harf sajā kar tujhe tahrīr kiyā
ḳhuun kī nadiyāñ bahā kar tujhe tahrīr kiyā
dard meñ umr bitā kar tujhe tahrīr kiyā
ab to kahtā hai mirā koī bhī kirdār nahīñ
merā kiyā hai, maiñ unhī rāstoñ meñ rahtā huuñ
mujh ko ye hukm hai jaa, jā ke pattharoñ ko tarāsh
maiñ azal se isī ik kaam meñ laayā gayā huuñ
maiñ kabhī piir, payambar, kabhī shā.er kī sifat
tere be-faiz zamāne meñ utārā gayā huuñ
maiñ to bahtā huā dariyā huuñ, samundar bhī huuñ
maiñ to jugnū bhī huuñ, titlī bhī huuñ, ḳhushbū bhī huuñ
maiñ to jis rañg meñ bhī aayā huuñ, chhāyā gayā huuñ
tū agar mujh ko na samjhā to ai mere hamdam
maiñ kisī roz tire haath se kho jā.ūñgā
aur tū vaqt ke tapte hue sahrāoñ meñ
haath maltā huā rotā huā rah jā.egā
ek ek harf saja kar tujhe tahrir kiya
KHun ki nadiyan baha kar tujhe tahrir kiya
dard mein umr bita kar tujhe tahrir kiya
ab to kahta hai mera koi bhi kirdar nahin
mera kiya hai, main unhi raston mein rahta hun
mujh ko ye hukm hai ja, ja ke pattharon ko tarash
main azal se isi ek kaam mein laya gaya hun
main kabhi pir, payambar, kabhi shaer ki sifat
tere be-faiz zamane mein utara gaya hun
main to bahta hua dariya hun, samundar bhi hun
main to jugnu bhi hun, titli bhi hun, KHushbu bhi hun
main to jis rang mein bhi aaya hun, chhaya gaya hun
tu agar mujh ko na samjha to ai mere hamdam
main kisi roz tere hath se kho jaunga
aur tu waqt ke tapte hue sahraon mein
hath malta hua rota hua rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.