vo tulsīdās jis ne ilm kā dariyā bahāyā thā
vo tulsīdās jis ne ġhair ko apnā banāyā thā
vo tulsīdās jo duniyā meñ sūraj ban ke chhāyā thā
vo tulsīdās jo ġham-ḳhvāriyoñ meñ muskurāyā thā
ḳhulūs-e-dil se maiñ us ko aqīdat pesh kartā huuñ
mire pesh-e-nazar ab tak mizāj-e-hukmrānī hai
bahut uljhī huī us daur-e-māzī kī kahānī hai
magar tulsī kī azmat dost dushman sab ne maanī hai
vo rāmā.en kā likhnā shāhkār-e-zindagānī hai
maiñ us insān-e-kāmil ko mohabbat pesh kartā huuñ
ye jo kuchh kah rahā huuñ maiñ haqīqat hī haqīqat hai
lab-o-lahja kī shīrīnī mohabbat kī alāmat hai
vo aalim ho ki jāhil aaj har dil par hukūmat hai
nazar-andāz karnā us kī rāhoñ ko qayāmat hai
maiñ apnī bazm meñ is kī zarūrat pesh kartā huuñ
vo tulsī jis kī goyā.ī suḳhan kī sar-bulandī hai
suḳhan kī sar-bulandī fikr-o-fan kī sar-bulandī hai
gul-e-rangīñ vo hai jis se chaman kī sar-bulandī hai
usī kī sar-bulandī se vatan kī sar-bulandī hai
maiñ ehsās-e-vaqār-e-mulk-o-millat pesh kartā huuñ
vo tulsī jis kī rāmā.en kā ik ik scene gulshan hai
vo tulsī jis kā duniyā-e-adab meñ naam raushan hai
vo ik aalim hai ik sāhib-nazar hai māhir-e-fan hai
vo apne daur kā homer hai firdausī hai milTon hai
maiñ ai 'takmīl' use apnī riyāzat pesh kartā huuñ