tulu-e-aftab
jo sub.h ne bañsarī bajā.e havā.eñ karvaT badal rahī haiñ
vasī.a dariyā kī halkī maujeñ taḌap rahī haiñ uchhal rahī haiñ
dhulā huā narm narm sabza zamīñ ke siine se uTh rahā hai
havā ke jhoñkoñ se mast ho ho ke nannhī shāḳheñ machal rahī haiñ
udhar jo dariyā haiñ gungunāte idhar parinde haiñ chahchahāte
sadā.eñ beloñ kī ghanTiyoñ kī surīle naġhmoñ meñ Dhal rahī haiñ
paḌī hai aalam meñ ek halchal chaman chaman ho rahī haiñ dhūmeñ
ufuq ke aivān-e-ātishīñ se sunahrī kirneñ nikal rahī haiñ
ye kis kī aamad kā hai ishāra ki nuur har-sū baras rahā hai
ye kis ke jalve ke dekhne ko jahān saarā taras rahā hai
2
ai mehr-e-tābāñ nikal ke bāhar udaas ġhunchoñ ko to hañsā de
zamīn bārish se hai fasurda pakaḌ ke shāna zarā hilā de
lagī hai terī hī aas sab ko amiir huuñ yā faqīr bekas
jo qasr-e-shāhī ko jagmagā de to jhopḌe ko jhalak dikhā de
chamak chamak ai nigār-e-getī ki tū hai paiġhām zindagī kā
ras apnī kirnoñ kā khīñch kar ab pilā de ik jaam zindagī kā
jo subh ne bansari bajae hawaen karwaT badal rahi hain
wasia dariya ki halki maujen taDap rahi hain uchhal rahi hain
dhula hua narm narm sabza zamin ke sine se uTh raha hai
hawa ke jhonkon se mast ho ho ke nannhi shaKHen machal rahi hain
udhar jo dariya hain gungunate idhar parinde hain chahchahate
sadaen belon ki ghanTiyon ki surile naghmon mein Dhal rahi hain
paDi hai aalam mein ek halchal chaman chaman ho rahi hain dhumen
ufuq ke aiwan-e-atishin se sunahri kirnen nikal rahi hain
ye kis ki aamad ka hai ishaara ki nur har-su baras raha hai
ye kis ke jalwe ke dekhne ko jahan sara taras raha hai
2
ai mehr-e-taban nikal ke bahar udas ghunchon ko to hansa de
zamin barish se hai fasurda pakaD ke shana zara hila de
lagi hai teri hi aas sab ko amir hun ya faqir bekas
jo qasr-e-shahi ko jagmaga de to jhopDe ko jhalak dikha de
chamak chamak ai nigar-e-geti ki tu hai paigham zindagi ka
ras apni kirnon ka khinch kar ab pila de ek jam zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.