tulu-e-manzar ki aankh chup hai
su.ūbat-e-jāñ qaran qaran hai
zakāt-e-mohlat hai lamha lamha
vo uñgliyāñ ab thakī huī haiñ
jinhoñ ne
barg-e-ḳhazāñ-zada kī hatheliyoñ par
badan kī pahlī sadā likhī thī
lahū kī pahlī duā likhī thī
jinhoñ ne aiman kī vādiyoñ meñ
hajar hajar par
tamām maḳhlūq-e-arz ke naam
zindagī ke itaab likkhe
sadāqatoñ ke nisāb likkhe
vo hoñT bhī
ab lahū lahū haiñ
jinhoñ ne pusht-e-safar pe mohar-e-fanā ko chūmā
jinhoñ ne sahrā meñ shaam aa.ī
to os ke buuñd buuñd girne kī
aarzū ke salām phere
jinhoñ ne har sub.h
ūñTnī ke thanoñ se bahtī kiran kiran par
yatīm bachchoñ ko pālne kā savāb māñgā
ḳhudā se apnī musībatoñ kā hisāb māñgā
vo saarī āñkheñ
ġhurūb-e-manzar ke daldaloñ meñ dhañsī huī haiñ
jinhoñ ne sahrā meñ
chashma-e-sub.h-e-sandlīñ par
vo log dekhe
jo halqa halqa inaad meñ the
giroh-e-ahl-e-fasād meñ the
jinhoñ ne sarsabz shāḳh-sāroñ ke saa.e saa.e
guzartī nahroñ ke ḳhvāb dekhe
safar safar bas sarāb dekhe
su.ūbat-e-jāñ qaran qaran hai
zakāt-e-mohlat hai lamha lamha
suubat-e-jaan qaran qaran hai
zakat-e-mohlat hai lamha lamha
wo ungliyan ab thaki hui hain
jinhon ne
barg-e-KHazan-zada ki hatheliyon par
badan ki pahli sada likhi thi
lahu ki pahli dua likhi thi
jinhon ne aiman ki wadiyon mein
hajar hajar par
tamam maKHluq-e-arz ke nam
zindagi ke itab likkhe
sadaqaton ke nisab likkhe
wo honT bhi
ab lahu lahu hain
jinhon ne pusht-e-safar pe mohar-e-fana ko chuma
jinhon ne sahra mein sham aai
to os ke bund bund girne ki
aarzu ke salam phere
jinhon ne har subh
unTni ke thanon se bahti kiran kiran par
yatim bachchon ko palne ka sawab manga
KHuda se apni musibaton ka hisab manga
wo sari aankhen
ghurub-e-manzar ke daldalon mein dhansi hui hain
jinhon ne sahra mein
chashma-e-subh-e-sandlin par
wo log dekhe
jo halqa halqa inad mein the
giroh-e-ahl-e-fasad mein the
jinhon ne sarsabz shaKH-saron ke sae sae
guzarti nahron ke KHwab dekhe
safar safar bas sarab dekhe
suubat-e-jaan qaran qaran hai
zakat-e-mohlat hai lamha lamha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.