tulua se pahle
kabhī
yuuñ hī
kisī shab chāñdnī kā haath lagte hī
binā dastak ke khul jaatā hai ik kamre kā darvāza
darīchoñ se koī mad.hosh-kun ḳhushbū nikaltī hai
fazā meñ muskurātī hai
hayūle se ka.ī pardoñ pe bante haiñ bigaḌte haiñ
koī mauhūm aahaT phail jaatī hai samā.at par
kitābeñ jaag uThtī haiñ koī safhe ulaTtā hai
havā meñ sarsarāte haiñ adhūrī nazm ke TukḌe
fazā meñ tairte haiñ har taraf bhaTke hue misre
kahīñ maddham suroñ kā saaz koī chheḌ detā hai
añdhere ke samundar meñ koī bajrā sā chaltā hai
purāne giit bahte haiñ
udāsī taal detī hai
kabhī shīshoñ pe halkī nīlgūñ lahreñ machaltī haiñ
kisī āvāz kā saaya khulī khiḌkī meñ aatā hai
kiran koī zarā sā jhilmilā kar TuuT jaatī hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
añdhere meñ bikhartā kyā hai kyā tartīb paatā hai
kabhi
yun hi
kisi shab chandni ka hath lagte hi
bina dastak ke khul jata hai ek kamre ka darwaza
darichon se koi madhosh-kun KHushbu nikalti hai
faza mein muskuraati hai
hayule se kai pardon pe bante hain bigaDte hain
koi mauhum aahaT phail jati hai samaat par
kitaben jag uThti hain koi safhe ulaTta hai
hawa mein sarsaraate hain adhuri nazm ke TukDe
faza mein tairte hain har taraf bhaTke hue misre
kahin maddham suron ka saz koi chheD deta hai
andhere ke samundar mein koi bajra sa chalta hai
purane git bahte hain
udasi tal deti hai
kabhi shishon pe halki nilgun lahren machalti hain
kisi aawaz ka saya khuli khiDki mein aata hai
kiran koi zara sa jhilmila kar TuT jati hai
samajh mein kuchh nahin aata
andhere mein bikharta kya hai kya tartib pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.