tulua
kise yaqīñ thā ki palTegī raat kī kaayā
kaTī to raat magar ek ek pal gin gin
ufuq pe aa.ī bhī thī surḳhi-e-sahar lekin
sahar ke saath hī abr-e-siyāh bhī aayā
sahar ke saath hī hadd-e-nigāh tak chhāyā
ye kyā ġhazab hai ki ab tīra-tar hai raat se din
zamāna shoḳh shuāo udaas hai tum bin
bas ik jhalak ki uThe sar se ye ghanā saayā
ye Dar bhī hai ki shuā.eñ na jagmagā uTTheñ
koī shuā.a jo uThī bhī le ke añgḌā.ī
aur uTh ke ālam-e-tārīk meñ vo dar aa.ī
tū aa ke dekhegī hai nūr-o-be-basar āñkheñ
nahīñ hai jan ke liye farq nūr-o-zulmat meñ
ki ab haiñ ḳhvāb-e-adam meñ sahar ke saudā.ī
kise yaqin tha ki palTegi raat ki kaya
kaTi to raat magar ek ek pal gin gin
ufuq pe aai bhi thi surKHi-e-sahar lekin
sahar ke sath hi abr-e-siyah bhi aaya
sahar ke sath hi hadd-e-nigah tak chhaya
ye kya ghazab hai ki ab tira-tar hai raat se din
zamana shoKH shuao udas hai tum bin
bas ek jhalak ki uThe sar se ye ghana saya
ye Dar bhi hai ki shuaen na jagmaga uTThen
koi shuaa jo uThi bhi le ke angDai
aur uTh ke aalam-e-tarik mein wo dar aai
tu aa ke dekhegi hai nur-o-be-basar aankhen
nahin hai jan ke liye farq nur-o-zulmat mein
ki ab hain KHwab-e-adam mein sahar ke saudai
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.