tum aana to
tum aanā to
kamre meñ bikhrī ḳhāmoshī ko bhī paḌhnā
tanhā.ī ke nauhe sunñā
bistar kī vīrānī par aañsū na bahānā
cigarette ke ḳhālī Dibboñ par taras na khānā
jagah jagah bikhre pannoñ se apnā naam miTā ke rahnā
tum aanā to
almārī se
bosīda tasvīr uThā kar
khiḌkī se bāhar kar denā
jagah jagah makḌī ke jaale rahne denā
tum aanā to
niiñd kī golī ke pattoñ se kuchh mat kahnā
niiñd kahāñ thī bahlāve the rahne denā
pardoñ se chhan chhan kar aate
Dhalte sūraj ke sāyoñ ko
apne naqsh banāne denā
apne safar par jaane denā
tum aanā to
un bātoñ ko phir dohrānā
jo tum kah kar chalī ga.ī thiiñ
lekin un sapnoñ ko jānāñ
apnī āñkhoñ meñ mat laanā
jin kī tābānī jhūTī thī
jin kī jhūTī sachchā.ī ne
mujh ko bas vīrān kar diyā
aur mujhe be-jān kar diyā
lekin ab tum kyoñ aaogī
āḳhir kyoñ aaogī ab tum
ye merī vīrān ḳhayālī
bas mujh ko yūñhī dhoke degī
mujhe yūñhī bechain rakhegī
tum aana to
kamre mein bikhri KHamoshi ko bhi paDhna
tanhai ke nauhe sunna
bistar ki virani par aansu na bahana
cigarette ke KHali Dibbon par taras na khana
jagah jagah bikhre pannon se apna nam miTa ke rahna
tum aana to
almari se
bosida taswir uTha kar
khiDki se bahar kar dena
jagah jagah makDi ke jale rahne dena
tum aana to
nind ki goli ke patton se kuchh mat kahna
nind kahan thi bahlawe the rahne dena
pardon se chhan chhan kar aate
Dhalte suraj ke sayon ko
apne naqsh banane dena
apne safar par jaane dena
tum aana to
un baaton ko phir dohrana
jo tum kah kar chali gai thin
lekin un sapnon ko jaanan
apni aankhon mein mat lana
jin ki tabani jhuTi thi
jin ki jhuTi sachchai ne
mujh ko bas viran kar diya
aur mujhe be-jaan kar diya
lekin ab tum kyon aaogi
aaKHir kyon aaogi ab tum
ye meri viran KHayali
bas mujh ko yunhi dhoke degi
mujhe yunhi bechain rakhegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.