tum aaoge
mere ghar kī dīvāreñ ab mujh ko chaaT rahī haiñ
saare shahr kī miTTī meñ jo merā hissa thā
vo bhī logoñ meñ taqsīm huā hai apnī us kī qabr par merī āñkheñ
uḌtī dhuul kī
ḳhushbū thāme laTak kar leT ga.ī haiñ
aise samay ab kaun aatā hai
TeḌhī tirchhī uñgliyoñ meñ saare vafā ke dhāge halke halke TuuT rahe haiñ
haDDiyoñ ke jalne kī bū bistar kī shiknoñ meñ ghulne lagī hai
darvāzoñ ko band karo yā kholo
havā meñ sho.ale maddham maddham raakh kī sūrat sote jaate haiñ
aur ham ukhḌī saañs ke vaqfe meñ lafzoñ ke ta.avīz gale meñ Daale
tasvīroñ se pūchhte haiñ tum aaoge
aaoge to apnī āvāzoñ ke saa.e bhī le jaanā
saare ḳhvāb aur parchhā.īñ tumhārī sāl-girah kā tohfa haiñ
in par na.e chamkīle varaq lagā kar
aisī hī laḌkī ko bhejvānā jis ko tum ne apnā kahā ho
vo laḌkī bhī darvāzoñ kī darvāzoñ se ab harf-e-vafā ko sunñe lagī hai
is ko tum mat tarsānā us ke paas chale jaanā
yā us ko paas bulā lenā vo aa jā.egī
laḌkī hai nā kahnā kaise Tālegī
mere ghar ki diwaren ab mujh ko chaT rahi hain
sare shahr ki miTTi mein jo mera hissa tha
wo bhi logon mein taqsim hua hai apni us ki qabr par meri aankhen
uDti dhul ki
KHushbu thame laTak kar leT gai hain
aise samay ab kaun aata hai
TeDhi tirchhi ungliyon mein sare wafa ke dhage halke halke TuT rahe hain
haDDiyon ke jalne ki bu bistar ki shiknon mein ghulne lagi hai
darwazon ko band karo ya kholo
hawa mein shoale maddham maddham rakh ki surat sote jate hain
aur hum ukhDi sans ke waqfe mein lafzon ke tawiz gale mein Dale
taswiron se puchhte hain tum aaoge
aaoge to apni aawazon ke sae bhi le jaana
sare KHwab aur parchhain tumhaari sal-girah ka tohfa hain
in par nae chamkile waraq laga kar
aisi hi laDki ko bhejwana jis ko tum ne apna kaha ho
wo laDki bhi darwazon ki darwazon se ab harf-e-wafa ko sunne lagi hai
is ko tum mat tarsana us ke pas chale jaana
ya us ko pas bula lena wo aa jaegi
laDki hai na kahna kaise Talegi
- Book : meyaar (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.