tum aasman ki taraf na dekho
tum aasman ki taraf na dekho
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
tum āsmāñ kī taraf na dekho
ye chāñd ye kahkashāñ ye taare
yuuñ hī chamakte raheñge saare
yuuñ hī ziyā-bār hoñge daa.im
yahī rahegā nizām qaa.em
tum āsmāñ ko ho dekhte kyā
karo nazāra dil-e-hazīñ kā
ġham-e-mohabbat ke daaġh dekho
ye TimTimāte charāġh dekho
hai chand roza numūd un kī
nahīñ hai kuchh etibār-e-hastī
ye sham.a ḳhāmosh ho na jaa.e
ye baḳht-e-be-dār so na jaa.e
tum āsmāñ kī taraf na dekho
yuuñ hī sadā jalva-bār hogī
hazār kyā laakh baar hogī
haTā lo aañkh apnī charḳh par se
nazar milāo mirī nazar se
in āñsuoñ kī bahār dekho
ravāñ hai ābshār dekho
hai chand hī din kī ye ravānī
rahegī kab tak ye zindagānī
ye qalb ḳhuuñ ho ke bah na jaa.e
ye chashma bah bah ke rah na jaa.e
tum āsmāñ kī taraf na dekho
tum aasman ki taraf na dekho
ye chand ye kahkashan ye tare
yun hi chamakte rahenge sare
yun hi ziya-bar honge daim
yahi rahega nizam qaem
tum aasman ko ho dekhte kya
karo nazara dil-e-hazin ka
gham-e-mohabbat ke dagh dekho
ye TimTimate charagh dekho
hai chand roza numud un ki
nahin hai kuchh etibar-e-hasti
ye shama KHamosh ho na jae
ye baKHt-e-be-dar so na jae
tum aasman ki taraf na dekho
yun hi sada jalwa-bar hogi
hazar kya lakh bar hogi
haTa lo aankh apni charKH par se
nazar milao meri nazar se
in aansuon ki bahaar dekho
rawan hai aabshaar dekho
hai chand hi din ki ye rawani
rahegi kab tak ye zindagani
ye qalb KHun ho ke bah na jae
ye chashma bah bah ke rah na jae
tum aasman ki taraf na dekho
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 266)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.