tum agar rukte
rail guzrī
dandanātī
chīḳh barmātī
ik humaktā muskurātā phuul thāme
haath kī halkī sī jumbish
(salām āḳhirī)
chāquoñ kī dhaar peshānī meñ dhañs kar rah ga.ī
roz o shab ma.amūl ke sab sā.ebānoñ meñ darāḌeñ paḌ ga.iiñ
phan uThā.e pTriyoñ ke naag bal khāne lage
surḳh añgāre bujhe
sabz zahrī jhanDiyāñ lahrā ga.iiñ
khaultā jaltā lahū jamne lagā
os ummīdoñ pe jaise paḌ ga.ī
tez-rau pahiye mire siine se guzre
aur hamesha ke liye jaise signal gir gayā
yaad kī andhī surañgī aañkh
ab ik raushnī kā dā.era thā
chilchilātī raushnī
jaise īñdhan biis barsoñ kā yakāyak jal uThe
tum agar rukte
to meñ is raushnī ke dā.ere ko thaam letā
āhanī bhaTTī meñ apnā sab asāsa jhoñk detā
aur ham is raushnī meñ
apnī tahrīroñ ke vo alfāz paḌh lete
jo merī lauh par mahfūz haiñ
ek katbe kī tarah se aaj bhī mahfūz haiñ
tum agar rukte
to maiñ tum ko dikhātā
al-vidā.ī sīTiyoñ kī chīḳh sun kar
har taraf mahshar bapā hai
mere andar marne vaalā hai
ek aalam jaag uThā hai
kis qayāmat kī ghaḌī hai
tum agar rukte
to maiñ iqbāl kartā
apne hāthoñ āp-apne qatl kā iqbāl kartā
tum agar rukte!
rail guzri
dandanati
chiKH barmati
ek humakta muskuraata phul thame
hath ki halki si jumbish
(salam aaKHiri)
chaquon ki dhaar peshani mein dhans kar rah gai
roz o shab mamul ke sab saebanon mein daraDen paD gain
phan uThae pTriyon ke nag bal khane lage
surKH angare bujhe
sabz zahri jhanDiyan lahra gain
khaulta jalta lahu jamne laga
os ummidon pe jaise paD gai
tez-rau pahiye mere sine se guzre
aur hamesha ke liye jaise signal gir gaya
yaad ki andhi surangi aankh
ab ek raushni ka daera tha
chilchilati raushni
jaise indhan bis barson ka yakayak jal uThe
tum agar rukte
to mein is raushni ke daere ko tham leta
aahani bhaTTi mein apna sab asasa jhonk deta
aur hum is raushni mein
apni tahriron ke wo alfaz paDh lete
jo meri lauh par mahfuz hain
ek katbe ki tarah se aaj bhi mahfuz hain
tum agar rukte
to main tum ko dikhata
al-widai siTiyon ki chiKH sun kar
har taraf mahshar bapa hai
mere andar marne wala hai
ek aalam jag uTha hai
kis qayamat ki ghaDi hai
tum agar rukte
to main iqbaal karta
apne hathon aap-apne qatl ka iqbaal karta
tum agar rukte!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.