tum andhiyaron ki baat karo
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum tishna-labī ko aam karo ham pyaas bujhāte jā.eñge
tum māyūsī kī shaam karo ham aas baḌhāte jā.eñge
tum zanjīreñ nīlām karo ham haar banāte jā.eñge
bārūd ke badle phūloñ ke ambār lagāte jā.eñge
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum zulm baḌhāte jāoge ham azm baḌhāte jā.eñge
tum jabr baḌhāte jāoge ham alam uThāte jā.eñge
tum alam girāte jāoge ham qalam uThāte jā.eñge
tum qalam girāte jāoge ham hashr uThāte jā.eñge
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum kufr ke fatve lāoge ham haq kī dalīleñ lā.eñge
tum apnoñ ko Thukrāoge ham ġhairoñ ko apnā.eñge
tum nafrat ko phailāoge ham ishq meñ naam kamā.enge
tum zaḳhm lagāte jāoge ham jashn manāte jā.eñge
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum gumrāhī phailāo ham qur.ān sunāte jā.eñge
tum hirs baḌhāte jaao ham īmān baḌhāte jā.eñge
mīzān girāte jaao ham tūfān uThāte jā.eñge
tum aag lagāte jaao ham gulzār banāte jā.eñge
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum zehnoñ par yalġhār karo afkār jagāte jā.eñge
tum virse ko mismār karo shāhkār banāte jā.eñge
tum jabr karo qitāl karo fankār banāte jā.eñge
tum kūza-garoñ kā kaal karo me.amār banāte jā.eñge
tum añdhiyāroñ kī baat karo ham diip jalāte jā.eñge
tum ta.abīreñ tasḳhīr karo ham ḳhvāb jagāte jā.eñge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
tum tishna-labi ko aam karo hum pyas bujhate jaenge
tum mayusi ki sham karo hum aas baDhate jaenge
tum zanjiren nilam karo hum haar banate jaenge
barud ke badle phulon ke ambar lagate jaenge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
tum zulm baDhate jaoge hum azm baDhate jaenge
tum jabr baDhate jaoge hum alam uThate jaenge
tum alam giraate jaoge hum qalam uThate jaenge
tum qalam giraate jaoge hum hashr uThate jaenge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
tum kufr ke fatwe laoge hum haq ki dalilen laenge
tum apnon ko Thukraoge hum ghairon ko apnaenge
tum nafrat ko phailaoge hum ishq mein nam kamaenge
tum zaKHm lagate jaoge hum jashn manate jaenge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
tum gumrahi phailao hum quran sunate jaenge
tum hirs baDhate jao hum iman baDhate jaenge
mizan giraate jao hum tufan uThate jaenge
tum aag lagate jao hum gulzar banate jaenge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
tum zehnon par yalghaar karo afkar jagate jaenge
tum wirse ko mismar karo shahkar banate jaenge
tum jabr karo qital karo fankar banate jaenge
tum kuza-garon ka kal karo meamar banate jaenge
tum andhiyaron ki baat karo hum dip jalate jaenge
tum tabiren tasKHir karo hum KHwab jagate jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.