tum apne KHwab ghar par chhoD aao
tum apne ḳhvāb ghar par chhoḌ aao
nahīñ to ḳhaar ban kar ye chubheñge
tumhārī ruuh ko paiham Daseñge
mabādā ye tumhārā muñh chiḌā.eñ
tum in sab ā.inoñ ko toḌ aao
tum apnī aql-o-mantiq par ho nāzāñ
ye nāḳhun us jagah kyā kaam deñge
jahāñ dil kī girah uljhī huī ho
tumhāre haath apnī bebasī par
tumheñ har gaam par ilzām deñge
kahāñ haiñ vo kitābeñ vo sahā.ef
ki jan meñ zaḳhm apne rakh diye the
us insāñ ne jo sho.aloñ meñ jalā thā
us insāñ ne jo suulī par chaḌhā thā
us insāñ ne jo mar mar kar jiyā thā
tum apne ḳhvāb ghar par chhoḌ aao
tumhārī dhuup sāyoñ meñ Dhalegī
tumhārī raat shabnam par chalegī
zamīr-e-zahr-ālūda ke chyūñTe
na reñgeñge tumhārī be-hisī meñ
tumhārā tan tumhārā tan banegā
tumhārā dil tumhārā saath degā
tumheñ kyā chāhiye phir zindagī meñ
tum apne ḳhvāb ghar par chhoḌ aao
tum apne KHwab ghar par chhoD aao
nahin to KHar ban kar ye chubhenge
tumhaari ruh ko paiham Dasenge
mabaada ye tumhaara munh chiDaen
tum in sab aainon ko toD aao
tum apni aql-o-mantiq par ho nazan
ye naKHun us jagah kya kaam denge
jahan dil ki girah uljhi hui ho
tumhaare hath apni bebasi par
tumhein har gam par ilzam denge
kahan hain wo kitaben wo sahaef
ki jan mein zaKHm apne rakh diye the
us insan ne jo shoalon mein jala tha
us insan ne jo suli par chaDha tha
us insan ne jo mar mar kar jiya tha
tum apne KHwab ghar par chhoD aao
tumhaari dhup sayon mein Dhalegi
tumhaari raat shabnam par chalegi
zamir-e-zahr-aluda ke chyunTe
na rengenge tumhaari be-hisi mein
tumhaara tan tumhaara tan banega
tumhaara dil tumhaara sath dega
tumhein kya chahiye phir zindagi mein
tum apne KHwab ghar par chhoD aao
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 345)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.