tum apni aankhon ko band kar lo
tumhārī āñkheñ
jo merī āñkhoñ meñ bas ga.ī haiñ
vo sub.h se shaam tak
mire saath ghūmtī haiñ
vo raat bhar
merī niiñd se chuur
band āñkhoñ meñ jāgtī haiñ
maiñ sub.h ā.īna dekhtā huuñ
to merī āñkhoñ se jhāñktī haiñ
mujhe har ik baat par
kuchh is tarah Toktī haiñ
ki jaise maiñ ek
tifl-e-nādāñ huuñ
jāntā hī nahīñ
zamāne ke taur kyā haiñ
tum apnī āñkhoñ ko band kar lo
ki ab mujhe
zindagī ke kuchh faisle mirī jaañ
ḳhud apnī marzī se karne hoñge
tumhaari aankhen
jo meri aankhon mein bas gai hain
wo subh se sham tak
mere sath ghumti hain
wo raat bhar
meri nind se chur
band aankhon mein jagti hain
main subh aaina dekhta hun
to meri aankhon se jhankti hain
mujhe har ek baat par
kuchh is tarah Tokti hain
ki jaise main ek
tifl-e-nadan hun
jaanta hi nahin
zamane ke taur kya hain
tum apni aankhon ko band kar lo
ki ab mujhe
zindagi ke kuchh faisle meri jaan
KHud apni marzi se karne honge
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 71)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.