tum aur hum
tum badan kī sat.h ke tairāk banñā chāhte the
tum the nazzāroñ ke sāhil par tamāsha-bīn aur shauqīn
tum pahuñchnā chāhte the pairahan ke paar
jild tak mahdūd thā zauq-e-jamāl
gosht thā maqsūd-e-parvāz-e-ḳhayāl
inkishāf-e-jism thā afkār-e-ālī kā kamāl
dāman o band-e-qabā añgiyā dupaTTe pā.inche
the tumhārī shā.erī ke mashġhale
aur tumhāre mas.ale aur marhale
aur ham haiñ ruuh kī ehsās kī gahrā.iyoñ ke ġhota-ḳhor
zindagī meñ aur ham meñ raaz ab utne nahīñ
zindagī kyā aur duniyā kyā hamāre sāmne haiñ be-hijāb
jild kyā aur gosht kyā aur jism kyā
x-ray scrēn par haiñ haDDiyāñ tak be-libās
bār-hā dekhī huī chīzoñ ko phir se dekhnā
bār-hā bhogī huī chīzoñ ko phir se bhognā
bhog kar ḳhush honā khuḌhnā, tilmilānā sochnā
sochnā aur soch ke kāran ko pīchhe chhoḌ kar
nāpte phirnā azal se tā-abad
soch kā sahrā-e-nā-paidā-kanār
ārzū-e-dīd ke shāloñ meñ tum chalte rahe
diid ke sho.aloñ meñ ham lipTe hue haiñ
tum parā.ī aag meñ jalte rahe
aur ham jalte haiñ apnī aag meñ
aur ab apne parā.e meñ kahāñ hai koī bhed
ek hī ākāsh apne bāzuoñ meñ bheñchtā hai
ek taḳht-al-arz chashma sab jaḌoñ ko sīñchtā hai
ek hī sho.ala nasoñ ko khīñchtā hai
tum badan ki sath ke tairak banna chahte the
tum the nazzaron ke sahil par tamasha-bin aur shauqin
tum pahunchna chahte the pairahan ke par
jild tak mahdud tha zauq-e-jamal
gosht tha maqsud-e-parwaz-e-KHayal
inkishaf-e-jism tha afkar-e-ali ka kamal
daman o band-e-qaba angiya dupaTTe painche
the tumhaari shaeri ke mashghale
aur tumhaare masale aur marhale
aur hum hain ruh ki ehsas ki gahraiyon ke ghota-KHor
zindagi mein aur hum mein raaz ab utne nahin
zindagi kya aur duniya kya hamare samne hain be-hijab
jild kya aur gosht kya aur jism kya
x-ray screen par hain haDDiyan tak be-libas
bar-ha dekhi hui chizon ko phir se dekhna
bar-ha bhogi hui chizon ko phir se bhogna
bhog kar KHush hona khuDhna, tilmilana sochna
sochna aur soch ke karan ko pichhe chhoD kar
napte phirna azal se ta-abad
soch ka sahra-e-na-paida-kanar
aarzu-e-did ke shaalon mein tum chalte rahe
did ke shoalon mein hum lipTe hue hain
tum parai aag mein jalte rahe
aur hum jalte hain apni aag mein
aur ab apne parae mein kahan hai koi bhed
ek hi aakash apne bazuon mein bhenchta hai
ek taKHt-al-arz chashma sab jaDon ko sinchta hai
ek hi shoala nason ko khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.