tum aur main
mujhe gosht kī thālī samajh kar
chiil kī tarah jhapTā mārte ho
ise maiñ pyaar samjhūñ
itnī bholī maiñ nahīñ huuñ
mujh se tumhārā moh aisā hai
jaisā billī kā chhīchhḌe se
is ko maiñ pyaar samjhūñ
itnī bholī maiñ nahīñ huuñ
mere badan ko khilaunā jaan kar
marzī ho to khelo marzī ho to toḌ Daalo
ise maiñ pyaar samjhūñ
itnī bholī maiñ nahīñ huuñ
maiñ tumhāre show-case meñ sajā.ī guḌiyā
kitnī bhī us kī tārīf karo
ise maiñ pyaar samjhūñ
itnī bholī nahīñ huuñ maiñ
rasmoñ kī nā.ika mujhe vaishyā banā.e
aur nachā.e tumhārī ḳhvāhishoñ ke chakle meñ
ise maiñ pyaar samjhūñ
itnī bholī maiñ nahīñ huuñ
mujhe gosht ki thaali samajh kar
chil ki tarah jhapTa marte ho
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
mujh se tumhaara moh aisa hai
jaisa billi ka chhichhDe se
is ko main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
mere badan ko khilauna jaan kar
marzi ho to khelo marzi ho to toD Dalo
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
main tumhaare show-case mein sajai guDiya
kitni bhi us ki tarif karo
ise main pyar samjhun
itni bholi nahin hun main
rasmon ki naika mujhe waishya banae
aur nachae tumhaari KHwahishon ke chakle mein
ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 99)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.