tum aur main
jo farq hai mujh meñ aur tum meñ us farq ko kyā batlā.ūñ maiñ
manzil hai tumhārī mujh se alag phir kaise tumheñ apnā.ūñ maiñ
gul-gasht-e-chaman ke tum ḳhūgar aur dasht-navardī kaam mirā
tum zauq-e-talab se begāna aur azm-o-amal paiġhām mirā
joyā-e-lab-e-sāhil ho tum mañjdhār meñ rahnā ḳhū hai mirī
maujoñ ke thapeḌe khā khā kar sailāb meñ bahnā ḳhū hai mirī
tum āb-e-baqā ke shaidā.ī maiñ zahr-e-halāhil kā joyā
maiñ ranj-o-sa.ūbat kā aadī tum aish-o-tarab ke dil-dāda
kohsār kī saḳhtī mujh meñ hai shīshe kī nazākat tum meñ hai
sūraj kī tamāzat mujh meñ hai shabnam kī latāfat tum meñ hai
maiñ loTtā huuñ angāroñ par tum jhuul rahe ho jhūloñ meñ
chaltā huuñ yahāñ maiñ kāñToñ par tulte ho vahāñ tum phūloñ meñ
tum sub.h-e-bahārāñ ke āshiq maiñ shām-e-ġharībāñ kā shaidā
tum chāñdnī rātoñ par maftūñ maiñ sho.ala-e-sozāñ kā shaidā
kaliyāñ jo chaTakne lagtī haiñ hotī hai tumhāre sar meñ dhamak
marġhūb tabī.at ko hai mirī bādal kī kaḌak bijlī kī chamak
bas husn kā sheva aur hai kyā gul-gashtī yā gul-pairahanī
aur ishq kā maqsad jāñ-bāzī yā koh-kanī yā tesha-zanī
jo farq hai mujh mein aur tum mein us farq ko kya batlaun main
manzil hai tumhaari mujh se alag phir kaise tumhein apnaun main
gul-gasht-e-chaman ke tum KHugar aur dasht-nawardi kaam mera
tum zauq-e-talab se begana aur azm-o-amal paigham mera
joya-e-lab-e-sahil ho tum manjdhaar mein rahna KHu hai meri
maujon ke thapeDe kha kha kar sailab mein bahna KHu hai meri
tum aab-e-baqa ke shaidai main zahr-e-halahil ka joya
main ranj-o-saubat ka aadi tum aish-o-tarab ke dil-dada
kohsar ki saKHti mujh mein hai shishe ki nazakat tum mein hai
suraj ki tamazat mujh mein hai shabnam ki latafat tum mein hai
main loTta hun angaron par tum jhul rahe ho jhulon mein
chalta hun yahan main kanTon par tulte ho wahan tum phulon mein
tum subh-e-bahaaran ke aashiq main sham-e-ghariban ka shaida
tum chandni raaton par maftun main shoala-e-sozan ka shaida
kaliyan jo chaTakne lagti hain hoti hai tumhaare sar mein dhamak
marghub tabiat ko hai meri baadal ki kaDak bijli ki chamak
bas husn ka shewa aur hai kya gul-gashti ya gul-pairahani
aur ishq ka maqsad jaan-bazi ya koh-kani ya tesha-zani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.