tum aur main
tum vo bādal ho ki ākāsh pe jab jhuum ke aa.e
chale purvā.ī bhī mausam bhī suhānā ho jaa.e
kabhī ghanghor ghaTā surma.ī uudī kaalī
kabhī ik ruuī kā gaalā ki bas uḌtā jaa.e
kabhī bijlī kī kaḌak ban ke jalā.e ḳhirman
gaḌgaḌātā kahīñ bin barse hī guzrā jaa.e
paanī tham tham ke paḌe rañg dhanak ke bikhreñ
hijr kī shaam Dhale vasl kī raat aa jaa.e
maiñ vo dhartī ki jab ākāsh pe bādal chhā.e
jhuum jhuum sabza daraḳht phuul svāgat ko baḌheñ
soñdhī soñdhī sī mahak miTTī ke añg añg se uThe
halkī phuvār ke chhīñTe jo badan se kheleñ
jab ghaTā TuuT ke barse to kare jal thal ek
dhartī kī pyaas bujhe man kī lagī shānt kareñ
kahīñ jharne kahīñ meñDak kahīñ chiḌiyāñ kahīñ mor
zindagī raqs kare rañg bahāroñ ke khileñ
tum to bādal ho agar aaj yahāñ kal ho vahāñ
havā ke dosh pe anjānī fazāoñ meñ ravāñ
kahīñ mausam ho munāsib to baras kar khul jaao
kahīñ bas dhuup kī tezī meñ kamī karte jaao
maiñ vo dhartī ki bahāroñ ke guzar jaane par
hijr kī dhuup kaḌī sah ke jo TukḌe ho jaa.e
yādeñ guzrī huī barkhā kī lagā.e dil se
milne kī aas meñ ākāsh ko taktī rah jaa.e
tum wo baadal ho ki aakash pe jab jhum ke aae
chale purwai bhi mausam bhi suhana ho jae
kabhi ghanghor ghaTa surmai udi kali
kabhi ek rui ka gala ki bas uDta jae
kabhi bijli ki kaDak ban ke jalae KHirman
gaDgaData kahin bin barse hi guzra jae
pani tham tham ke paDe rang dhanak ke bikhren
hijr ki sham Dhale wasl ki raat aa jae
main wo dharti ki jab aakash pe baadal chhae
jhum jhum sabza daraKHt phul swagat ko baDhen
sondhi sondhi si mahak miTTi ke ang ang se uThe
halki phuwar ke chhinTe jo badan se khelen
jab ghaTa TuT ke barse to kare jal thal ek
dharti ki pyas bujhe man ki lagi shant karen
kahin jharne kahin meinDak kahin chiDiyan kahin mor
zindagi raqs kare rang bahaaron ke khilen
tum to baadal ho agar aaj yahan kal ho wahan
hawa ke dosh pe anjaani fazaon mein rawan
kahin mausam ho munasib to baras kar khul jao
kahin bas dhup ki tezi mein kami karte jao
main wo dharti ki bahaaron ke guzar jaane par
hijr ki dhup kaDi sah ke jo TukDe ho jae
yaaden guzri hui barkha ki lagae dil se
milne ki aas mein aakash ko takti rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.