tum bhi
muddatoñ ba.ad aa.ī ho tum
aur tumheñ itnī fursat kahāñ
an-kahe harf bhī sun sako
aarzū kī vo tahrīr bhī paḌh sako
jo abhī tak likhī hī nahīñ jā sakī
itnī mohlat kahāñ
mere bāġhoñ meñ jo khil na paa.e abhī
un shagūfoñ kī bāteñ karo
dard hī baañT lo
mere kin māhtāboñ se tum mil sakīñ
kitnī āñkhoñ ke ḳhvāboñ se tum mil sakīñ
haañ tumhārī nigāh-e-satā.ish ne
ghar kī sab ārā.isheñ dekh liiñ
tan kī āsā.isheñ dekh liiñ
mere dil meñ jo paikāñ tarāzū hue
tum ko bhī
lāla-o-gul ke be-sāḳhta isti.āre lage
muddaton baad aai ho tum
aur tumhein itni fursat kahan
an-kahe harf bhi sun sako
aarzu ki wo tahrir bhi paDh sako
jo abhi tak likhi hi nahin ja saki
itni mohlat kahan
mere baghon mein jo khil na pae abhi
un shagufon ki baaten karo
dard hi banT lo
mere kin mahtabon se tum mil sakin
kitni aankhon ke KHwabon se tum mil sakin
han tumhaari nigah-e-sataish ne
ghar ki sab aaraishen dekh lin
tan ki aasaishen dekh lin
mere dil mein jo paikan taraazu hue
tum ko bhi
lala-o-gul ke be-saKHta istiare lage
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 248)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.