tum hi batao
tumhārī tahrīr paḌhte paḌhte
kahīñ kahīñ pe aTak rahā huuñ
kahīñ pe likhā hai tum ne shāyad
ki mere baare na itnā soch
vo shāyad ki socho hī likkhā hogā
kahīñ kahīñ pe likhā hai tum ne
ki mujh se duur rakkho zarā tum
yaqīnan vo duurī hī likkhā hogā
kahīñ pe ye bhī likhā hai tum ne
maiñ apnī manzil talā luuñ ab
vo shāyad talāsh hī likkhā hogā
magar ye saare hī lafz haiñ dhuñdle
ki likhte likhte tumhārī āñkhoñ se
dard ke qatre chhalak rahe the
mujhe batāo ki aise adhūre
likhe haiñ to
maiñ aise kaise
haqīqatoñ kā rang de duuñ
tum hī batāo
ye kaise hogā
tumhaari tahrir paDhte paDhte
kahin kahin pe aTak raha hun
kahin pe likha hai tum ne shayad
ki mere bare na itna soch
wo shayad ki socho hi likkha hoga
kahin kahin pe likha hai tum ne
ki mujh se dur rakkho zara tum
yaqinan wo duri hi likkha hoga
kahin pe ye bhi likha hai tum ne
main apni manzil tala lun ab
wo shayad talash hi likkha hoga
magar ye sare hi lafz hain dhundle
ki likhte likhte tumhaari aankhon se
dard ke qatre chhalak rahe the
mujhe batao ki aise adhure
likhe hain to
main aise kaise
haqiqaton ka rang de dun
tum hi batao
ye kaise hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.