tum ho
us qalamkār ne jis fikr ko paikar baḳhshā
usī paikar ke ḳhayālāt kā hissa tum ho
mujh ko bhī denī hai ik baar anal-haq kī sadā
aisā lagtā hai ki har qatre meñ barpā tum ho
raushnī letī hai tum se mirī tārīk hayāt
mujhe kyā ġham ki bahar-hāl dilāsā tum ho
'ain mumkin hai ki duniyā tumheñ afsāna kahe
par haqīqat kī tarah mujh pe huvaidā tum ho
jalva-e-tūr kī muusā hī haqīqat jāneñ
mirī shah-rag meñ usī tarh se barpā tum ho
jis ke dam se hai mire jism-o-dil-o-jāñ kī bahār
gulshan-e-dil meñ khilā vo gul-e-rā'nā tum ho
zindagī saada hai tum saada ho maiñ bhī saada
chalo achchhā hai darūn-e-dil-e-sāda tum ho
us qalamkar ne jis fikr ko paikar baKHsha
usi paikar ke KHayalat ka hissa tum ho
mujh ko bhi deni hai ek bar anal-haq ki sada
aisa lagta hai ki har qatre mein barpa tum ho
raushni leti hai tum se meri tarik hayat
mujhe kya gham ki bahar-haal dilasa tum ho
'ain mumkin hai ki duniya tumhein afsana kahe
par haqiqat ki tarah mujh pe huwaida tum ho
jalwa-e-tur ki musa hi haqiqat jaanen
meri shah-rag mein usi tarh se barpa tum ho
jis ke dam se hai mere jism-o-dil-o-jaan ki bahaar
gulshan-e-dil mein khila wo gul-e-ra'na tum ho
zindagi sada hai tum sada ho main bhi sada
chalo achchha hai darun-e-dil-e-sada tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.